الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الكفالة
Kitab: Kafalat ke masail ka bayan
باب الدين:
Bab: Qarz ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2298
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، كان يؤتى بالرجل المتوفى عليه الدين فيسال، هل ترك لدينه فضلا؟ فإن حدث انه ترك لدينه وفاء صلى، وإلا، قال للمسلمين: صلوا على صاحبكم، فلما فتح الله عليه الفتوح، قال: انا اولى بالمؤمنين من انفسهم، فمن توفي من المؤمنين فترك دينا فعلي قضاؤه، ومن ترك مالا فلورثته".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Abu Salama ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas jab kisi aisi mayyat ko laya jata jis par kisi ka qarz hota to aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmate ke kya us ne apne qarz ke ada karne ke liye bhi kuch chhora hai ? Phir agar koi aap ko bata deta ke han itna maal hai jis se qarz ada ho sakta hai. To aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) us ki namaz parhayate warna aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Musalmanon hi se farma dete ke apne saathi ki namaz parh lo. Phir jab Allah Ta'ala ne aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) par fatah ke darwaze khol diye to aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mein Musalmanon ka khud un ki zaat se bhi ziyada mustahiq hoon. Is liye ab jo bhi Musalman wafat pa jaye aur wo maqrooz raha ho to is ka qarz ada karna mere zimme hai aur jo Musalman maal chhor jaye wo is ke warison ka haq hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2398
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن عدي بن ثابت، عن ابي حازم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من ترك مالا فلورثته، ومن ترك كلا فإلينا".
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya, un se Shuba ne bayan kiya, un se Adi Bin Sabit ne, un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo shakhs (apne intiqaal ke waqt) maal chhore to wo is ke warison ka hai aur jo qarz chhore to wo humare zimme hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2399
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا ابو عامر، حدثنا فليح، عن هلال بن علي، عن عبد الرحمن بن ابي عمرة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما من مؤمن إلا وانا اولى به في الدنيا والآخرة، اقرءوا إن شئتم النبي اولى بالمؤمنين من انفسهم سورة الاحزاب آية 6، فايما مؤمن مات وترك مالا فليرثه عصبته من كانوا، ومن ترك دينا او ضياعا فلياتني فانا مولاه".
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abu Aamir ne bayan kiya, un se Fulaih ne bayan kiya, un se Hilal Bin Ali ne, un se Abdur Rahman Bin Abi Umrah ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, har momin ka mein duniya-o-aakhirat mein sab se ziyada qareeb hoon. Agar tum chaho to ye ayat parh lo «النبي أولى بالمؤمنين من أنفسهم» ”Nabi ((Sallallahu Alaihi Wasallam)) mominon se in ki jaan se bhi ziyada qareeb hain.“ Is liye jo momin bhi intiqaal kar jaye aur maal chhor jaye to chahiye ke wurasa is ke malik hon. Wo jo bhi hon aur jo shakhs qarz chhor jaye ya aulad chhor jaye to wo mere paas aa jayein ke in ka wali mein hoon
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4781
حدثني إبراهيم بن المنذر، حدثنا محمد بن فليح، حدثنا ابي، عن هلال بن علي، عن عبد الرحمن بن ابي عمرة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" ما من مؤمن إلا وانا اولى الناس به في الدنيا والآخرة، اقرءوا إن شئتم: النبي اولى بالمؤمنين من انفسهم سورة الاحزاب آية 6 فايما مؤمن ترك مالا فليرثه عصبته من كانوا، فإن ترك دينا او ضياعا فلياتني فانا مولاه".
Hum se Ibrahim bin al-Munzhir ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Falih ne , kaha mujh se mere walid ne , un se Hilal bin Ali ne aur un se Abdur Rahman bin Abu Amrah ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke koi momin aisa nahi ke main khud is ke nafs se bhi zyada is se aur aakhirat mein talluq na rakhta hoon , agar tumhara jee chahe to yeh aayat parh lo «annabiyyu aula bil-momineena min anfusihim» ke ”Nabi momineen ke saath khud un ke nafs se bhi zyada talluq rakhte hai .“ Pas jo momin bhi (marne ke baad) tarka maal o asbab chhore aur koi un ka wali waris nahi hai is ke azeez o aqarib jo bhi hon , is ke maal ke waris hon ge , lekin agar kisi momin ne koi qarz chhora hai ya aulad chhori hai to woh mere paas aa jayein un ka zimma-dar main hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5371
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يؤتى بالرجل المتوفى عليه الدين، فيسال: هل ترك لدينه فضلا؟ فإن حدث انه ترك وفاء صلى، وإلا قال للمسلمين: صلوا على صاحبكم، فلما فتح الله عليه الفتوح، قال: انا اولى بالمؤمنين من انفسهم، فمن توفي من المؤمنين فترك دينا فعلي قضاؤه، ومن ترك مالا فلورثته".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne , in se Abu Salamah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas jab kisi aise shakhs ka janaza laya jata jis par qarz hota to Aap salla Allahu alaihi wasallam daryaft farmate ke marne wale ne qarz ki adayigi ke liye tarka chhora hai ya nahi . Agar kaha jata ke itna chhora hai jis se in ka qarz ada ho sakta hai to Aap salla Allahu alaihi wasallam in ki namaz parhte , warna Musalmanon se kehte ke apne saathi par tum hi namaz parh lo . Phir jab Allah Ta'ala ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par futoohaat ke darwaze khol diye to farmaya ke main Musalmanon se in ki khud apni zaat se bhi zyada qareeb hoon is liye in Musalmanon mein jo koi wafat paye aur qarz chhore to is ki adayigi ki zimma-dari meri hai aur jo koi maal chhore woh is ke wurasa ka hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6731
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن ابن شهاب حدثني ابو سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" انا اولى بالمؤمنين من انفسهم، فمن مات وعليه دين، ولم يترك وفاء، فعلينا قضاؤه، ومن ترك مالا، فلورثته".
Hum se Abdan ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha hum ko Yunus bin Yazid Aili ne khabar di , unhein Ibn Shihab ne , kaha mujh se Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main momino ka khud in se zyada haqdar hoon . Pas in mein se jo koi qarz-daar mare ga aur adayigi ke liye kuch na chhorre ga to hum par is ki adayigi ki zimma-dari hai aur jis ne koi maal chhorra ho ga woh is ke warison ka hissa hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6745
حدثنا محمود، اخبرنا عبيد الله، عن إسرائيل، عن ابي حصين، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انا اولى بالمؤمنين من انفسهم، فمن مات وترك مالا، فماله لموالي العصبة، ومن ترك كلا او ضياعا، فانا وليه فلادعى له". الكل: العيال.
Hum se Mahmood ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Israeel ne khabar di , unhein Abu Haseen ne , unhein Abu Salih ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main Musalmanon ka khud in ki zaat se bhi zyada wali hoon . Pas jo shakhs mar jaye aur maal chhorr jaye to woh is ke warison ka haq hai aur jis ne biwi bache chhorre hon ya qarz ho , to main in ka wali hoon , in ke liye mujh se maanga jaye .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6763
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن عدي، عن ابي حازم، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من ترك مالا فلورثته، ومن ترك كلا فإلينا".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Adi ne , in se Abu Hazim ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne maal chhorra (apni maut ke baad) woh is ke warison ka hai aur jis ne qarz chhorra hai woh hamare zimma hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة