الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب غسل الدم:
Bab: Haiz ka khoon dhona zaroori hai.
Hadith Number: 227
حدثنا محمد بن المثنى، قال: حدثنا يحيى، عن هشام، قال: حدثتني فاطمة، عن اسماء، قالت: جاءت امراة النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت: ارايت إحدانا تحيض في الثوب، كيف تصنع؟ قال:" تحته، ثم تقرصه بالماء وتنضحه وتصلي فيه".
Hum se Muhammed Ibn-ul-Muthanna ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya ne Hishaam ke waaste se bayan kiya, un se Fatima ne Asma ke waaste se, woh kehti hain ke ek aurat ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir ho kar arz ki ke ya Rasoolallah! Farmaaiye hum mein se kisi aurat ko kapde mein haiz aa jaaye (to) woh kya kare, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya (ke pehle) use khurche, phir paani se ragde aur paani se dho daale aur usi kapde mein Namaz padh le.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 307
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن هشام بن عروة، عن فاطمة بنت المنذر، عن اسماء بنت ابي بكر الصديق، انها قالت: سالت امراة رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، ارايت إحدانا إذا اصاب ثوبها الدم من الحيضة كيف تصنع؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا اصاب ثوب إحداكن الدم من الحيضة فلتقرصه، ثم لتنضحه بماء، ثم لتصلي فيه".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hamein Imam Malik ne bayan kiya, unhon ne Hishaam bin ’Urwah ke waaste se, unhon ne Fatima bint-e-Munzir se, unhon ne Asma bint-e-Abi Bakr Siddiq Radhiallahu Anhuma se, unhon ne kaha ke ek aurat ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se sawaal kiya. Us ne poocha ke ya Rasoolallah! Aap ek aisi aurat ke mutalliq kya farmaate hain jis ke kapde par haiz ka khoon lag gaya ho. To Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke agar kisi aurat ke kapde par haiz ka khoon lag jaaye to chaahiye ke use ragad daale, us ke baad use paani se dhoye, phir us kapde mein Namaz padh le.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة