الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوُضُوءِ
The Book of Wudu (Ablution)
بَابُ غَسْلِ الدَّمِ:
Chapter. The washing out of blood.
Show diacritics
Hadith Number: 227
حدثنا محمد بن المثنى، قال: حدثنا يحيى، عن هشام، قال: حدثتني فاطمة، عن اسماء، قالت: جاءت امراة النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت: ارايت إحدانا تحيض في الثوب، كيف تصنع؟ قال:" تحته، ثم تقرصه بالماء وتنضحه وتصلي فيه".
Hum se Muhammed Ibn-ul-Muthanna ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya ne Hishaam ke waaste se bayan kiya, un se Fatima ne Asma ke waaste se, woh kehti hain ke ek aurat ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir ho kar arz ki ke ya Rasoolallah! Farmaaiye hum mein se kisi aurat ko kapde mein haiz aa jaaye (to) woh kya kare, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya (ke pehle) use khurche, phir paani se ragde aur paani se dho daale aur usi kapde mein Namaz padh le.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 228
حدثنا محمد، قال: حدثنا ابو معاوية، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، قالت: جاءت فاطمة بنت ابي حبيش إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، إني امراة استحاض فلا اطهر، افادع الصلاة؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا، إنما ذلك عرق وليس بحيض، فإذا اقبلت حيضتك فدعي الصلاة، وإذا ادبرت فاغسلي عنك الدم ثم صلي"، قال: وقال ابي: ثم توضئي لكل صلاة حتى يجيء ذلك الوقت.
Hum se Muhammed bin Salaam ne bayan kiya, kaha mujh se Abu Mu’aawiyah ne, kaha hum se Hishaam bin ’Urwah ne apne baap (Urwah) ke waaste se, woh Aisha Radhiallahu Anha se naql karte hain, woh farmaati hain ke Abu Hubaish ki beti Fatima Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir hue aur us ne kaha ke main ek aisi aurat hun jise istihaaza ki beemari hai. Is liye main paak nahi rehti to kya main Namaz chhod dun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya nahi, yeh ek rag (ka khoon) hai haiz nahi hai. To jab tujhe haiz aaye to Namaz chhod de aur jab yeh din guzar jaayen to apne (badan aur kapde) se khoon ko dho daal phir Namaz padh. Hishaam kehte hain ke mere baap Urwah ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne yeh (bhi) farmaaya ke phir har Namaz ke liye Wuzu kar yahan tak ke wahi (haiz ka) waqt phir aa jaaye.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain