الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَيْضِ
The Book of Menses (Menstrual Periods)
بَابُ غَسْلِ دَمِ الْمَحِيضِ:
Chapter. Washing out the menstrual blood.
Show diacritics
Hadith Number: 307
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن هشام بن عروة، عن فاطمة بنت المنذر، عن اسماء بنت ابي بكر الصديق، انها قالت: سالت امراة رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، ارايت إحدانا إذا اصاب ثوبها الدم من الحيضة كيف تصنع؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا اصاب ثوب إحداكن الدم من الحيضة فلتقرصه، ثم لتنضحه بماء، ثم لتصلي فيه".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hamein Imam Malik ne bayan kiya, unhon ne Hishaam bin ’Urwah ke waaste se, unhon ne Fatima bint-e-Munzir se, unhon ne Asma bint-e-Abi Bakr Siddiq Radhiallahu Anhuma se, unhon ne kaha ke ek aurat ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se sawaal kiya. Us ne poocha ke ya Rasoolallah! Aap ek aisi aurat ke mutalliq kya farmaate hain jis ke kapde par haiz ka khoon lag gaya ho. To Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke agar kisi aurat ke kapde par haiz ka khoon lag jaaye to chaahiye ke use ragad daale, us ke baad use paani se dhoye, phir us kapde mein Namaz padh le.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 308
حدثنا اصبغ، قال: اخبرني ابن وهب، قال: اخبرني عمرو بن الحارث، عن عبد الرحمن بن القاسم حدثه، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" كانت إحدانا تحيض، ثم تقترص الدم من ثوبها عند طهرها فتغسله وتنضح على سائره، ثم تصلي فيه".
Hum se Asbagh ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se ’Amr bin Haarith ne Abdur Rahman bin Qasim ke waaste se bayan kiya, unhon ne apne waalid Qasim bin Muhammed se bayan kiya, woh Aisha Radhiallahu Anha se ke aap ne farmaaya ke hamein haiz aata to kapde ko paak karte waqt hum khoon ko mal dete, phir us jagah ko dho lete aur tamaam kapde par paani baha dete aur use pahan kar Namaz padhte.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain