الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب بيع الملامسة:
Bab: Bay' mulamasah ka bayan.
Hadith Number: 2144
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عامر بن سعد، ان ابا سعيد رضي الله عنه، اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن المنابذة وهي طرح الرجل ثوبه بالبيع إلى الرجل قبل ان يقلبه او ينظر إليه، ونهى عن الملامسة، والملامسة لمس الثوب لا ينظر إليه".
Hum se Saeed Bin Afir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Liath Bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Aamir Bin Saeed ne khabar di, aur unhein Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne munabaza ki bai se mana farmaya tha. Is ka tareeqa ye tha ke ek aadmi bechne ke liye apna kapra doosre shakhs ki taraf (jo khareedar hota) phainkta aur is se pehle ke wo usay ulte palte ya is ki taraf dekhe (sirf phaink dene ki wajah se wo bai lazim samjhi jati thi) isi tarah Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bai-e-mulamasa se bhi mana farmaya. Is ka ye tareeqa tha ke (khareedne wala) kapre ko baghair dekhe sirf usay chhoo deta (aur isi se bai lazim ho jati thi usay bhi dhoka ki bai qarar diya gaya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 368
حدثنا قبيصة بن عقبة، قال: حدثنا سفيان، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن بيعتين، عن اللماس والنباذ، وان يشتمل الصماء، وان يحتبي الرجل في ثوب واحد".
Hum se Qabeesah bin Uqbah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya, jo Abu al-Zinad se naqal karte hain, woh Aaraj se, woh Abu Hurairah Razi Allah Anhu se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne do tarah ki bay o farokht se mana farmaya. Ek to chhune ki bay se, doosre phenkne ki bay se aur ishtimal-e-samma se (jis ka bayan oopar guzra) aur ek kapre mein goat maar kar baithne se.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة