الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب ما يكره من الحلف فى البيع:
Bab: Khareed o farokht mein qasam khana makrooh hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2088
حدثنا عمرو بن محمد، حدثنا هشيم، اخبرنا العوام، عن إبراهيم بن عبد الرحمن، عن عبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنه،" ان رجلا اقام سلعة وهو في السوق، فحلف بالله، لقد اعطى بها ما لم يعط ليوقع فيها رجلا من المسلمين، فنزلت: إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77 الآية".
Hum se Amr Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha ke hum se Hushaim ne bayan kiya, kaha ke hum ko Awam Bin Haushab ne khabar di, unhein Ibrahim Bin Abdur Rahman ne aur unhein Abdullah Bin Abi Aufa (Radi Allahu Anhu) ne ke bazaar mein ek shakhs ne ek saman dikha kar qasam khayi ke is ki itni qeemat lag chuki hai. Halankay is ki itni qeemat nahi lagi thi is qasam se is ka maqsad ek musalman ko dhoka dena tha. Is par ye ayat utri «Innal-ladheena yashtaroona bi-ahdil-lahi wa-aimanihim thamanan qaleela» ”Jo log Allah ke ahd aur apni qasmon ko thori qeemat ke badla mein bechte hain.“
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2675
حدثني إسحاق، اخبرنا يزيد بن هارون، اخبرنا العوام، قال: حدثني إبراهيم ابو إسماعيل السكسكي، سمع عبد الله بن ابي اوفىرضي الله عنهما، يقول:" اقام رجل سلعته، فحلف بالله لقد اعطى بها ما لم يعطها، فنزلت: إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77". وقال ابن ابي اوفى الناجش: آكل ربا خائن.
Mujh se Ishaq ne bayan kiya, kaha ke hum ko Yazid Bin Haroon ne khabar di, unhein Awam ne khabar di, kaha ke mujh se Ibrahim Abu Ismail Saksaki ne bayan kiya aur unhon ne Abdullah Bin Abi Aufa (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna ke ek shaks ne apna saman dikha kar Allah ki qasam khayi ke ise is saman ka itna rupiya mil raha tha, halankay itna nahi mil raha tha. Is par ye ayat nazil hui "Innallazina yashtaruna bi-ahdillahi wa aimanihim samanan qalila" "Jo log Allah ke ahad aur apni qasmon ke zariya thori qeemat hasil karte hain." Ibn Abi Aufa (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke gahakou ko phansane ke liye qeemat barhane wala sood-khor ki tarah khain hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4551
حدثنا علي هو ابن ابي هاشم، سمع هشيما، اخبرنا العوام بن حوشب، عن إبراهيم بن عبد الرحمن، عن عبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنهما:" ان رجلا اقام سلعة في السوق فحلف فيها، لقد اعطى بها ما لم يعطه ليوقع فيها رجلا من المسلمين، فنزلت إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77 إلى آخر الآية".
Hum se Ali bin Abu Hashim ne byaan kiya , unhon ne Hushaym se suna , unhon ne kaha hum ko Awam bin Haushab ne khabar di , unhein Ibrahim bin Abdur Rahman ne aur unhein Abdullah bin Abi Awfa razi Allahu anhu ne ke ek shakhs ne bazar mein saman bechte huay qasam khayi ke falan shakhs is saman ka itna rupiyah de raha tha , haalan ke kisi ne itni qemat nahi lagayi thi , balkay is ka maqsad yeh tha ke is tarah kisi Musalman ko woh dhoka de kar usay thag le to is par yeh aayat nazil hui «innallazhina yashtaroona biahdillahi wa aimanihim samanan qaleelan» ke ”beshak jo log Allah ke ahad aur apni qasmon ko thori qemat par bechte hain .“ Aakhir aayat tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة