الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب التجارة فى البر:
Bab: Khushki mein tijarat karne ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2060
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، قال: اخبرني عمرو بن دينار، عن ابي المنهال، قال: كنت اتجر في الصرف، فسالت زيد بن ارقم رضي الله عنه، فقال: قال النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني الفضل بن يعقوب، حدثنا الحجاج بن محمد، قال ابن جريج: اخبرني عمرو بن دينار، وعامر بن مصعب، انهما سمعا ابا المنهال، يقول: سالت البراء بن عازب، وزيد بن ارقم عن الصرف، فقالا: كنا تاجرين على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم،" فسالنا رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الصرف؟ فقال: إن كان يدا بيد فلا باس، وإن كان نساء فلا يصلح".
Hum se Abu Asim ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Ibn Juraij ne bayan kiya, ke mujhe Amr Bin Dinar ne khabar di aur un se Abu-al-Minhal ne bayan kiya ke mein sone chandi ki tijarat kiya karta tha. Is liye mein ne Zaid Bin Arqam (Radi Allahu Anhu) se is ke mutaliq poocha to unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya. Aur mujh se Fazal Bin Yaqub ne bayan kiya, kaha ke hum se Hajjaj Bin Muhammad ne bayan kiya ke Ibn Juraij ne bayan kiya ke mujhe Amr Bin Dinar aur Aamir Bin Mus'ab ne khabar di, un donon hazraat ne Abu-al-Minhal se suna. Unhon ne bayan kiya ke mein ne Bara Bin Azib aur Zaid Bin Arqam (Radi Allahu Anhuma) se sone chandi ki tijarat ke mutaliq poocha, to un donon buzurgon ne farmaya ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ahd mein tajir thay, is liye hum ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se sone chandi ke mutaliq poocha tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jawab ye diya tha ke (lein dein) hathon hath ho to koi haraj nahi lekin udhaar ki soorat mein jaiz nahi hai
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2180
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، قال: اخبرني حبيب بن ابي ثابت، قال: سمعت ابا المنهال، قال: سالت البراء بن عازب، وزيد بن ارقم رضي الله عنه عن الصرف؟ فكل واحد منهما يقول: هذا خير مني، فكلاهما يقول:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن بيع الذهب بالورق دينا".
Hum se Hafs Bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha ke mujhe Habib Bin Abi Thabit ne khabar di, kaha ke mein ne Abu-al-Minhal se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Bara Bin Azib aur Zaid Bin Arqam (Radi Allahu Anhuma) se bai-e-sarf ke mutaliq poocha to in donon hazraat ne ek doosre ke mutaliq farmaya ke ye mujh se behtar hain. Aakhir donon hazraat ne batlaya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sone ko chandi ke badle mein udhaar ki soorat mein bechne se mana farmaya hai
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2497
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا ابو عاصم، عن عثمان يعني ابن الاسود، قال: اخبرني سليمان بن ابي مسلم، قال: سالت ابا المنهال عن الصرف يدا بيد، فقال: اشتريت انا وشريك لي شيئا يدا بيد ونسيئة، فجاءنا البراء بن عازب فسالناه، فقال: فعلت انا وشريكي زيد بن ارقم، وسالنا النبي صلى الله عليه وسلم عن ذلك، فقال:" ما كان يدا بيد فخذوه، وما كان نسيئة فذروه".
Hum se Amr Bin Ali Fallas ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Asim ne bayan kiya, un se Usman ne jo Aswad ke bete hain, kaha ke mujhe Suleman Bin Abi Muslim ne khabar di, unhon ne kaha ke mein ne Abu Al-Minhal se bai-sarf naqd ke bare mein poocha to unhon ne kaha ke mein ne aur mere ek shareek ne koi cheez (sone aur chandi ki) khareedi naqd par bhi aur udhar par bhi. Phir hamare yahan Bara Bin Azib (Radi Allahu Anhu) aaye to hum ne un se is ke bare mein poocha. Unhon ne kaha ke mein ne aur mere shareek Zaid Bin Arqam (Radi Allahu Anhu) ne bhi ye bai ki thi aur hum ne is ke mutalliq Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha tha to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke jo naqd ho wo le lo aur jo udhar ho ise chor do
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3939
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو، سمع ابا المنهال عبد الرحمن بن مطعم، قال: باع شريك لي دراهم في السوق نسيئة، فقلت: سبحان الله ايصلح هذا، فقال: سبحان الله والله لقد بعتها في السوق فما عابه احد , فسالت البراء بن عازب، فقال: قدم النبي صلى الله عليه وسلم ونحن نتبايع هذا البيع، فقال:" ما كان يدا بيد فليس به باس , وما كان نسيئة فلا يصلح" , والق زيد بن ارقم فاساله فإنه كان اعظمنا تجارة , فسالت زيد بن ارقم، فقال: مثله، وقال سفيان: مرة، فقال: قدم علينا النبي صلى الله عليه وسلم المدينة ونحن نتبايع، وقال:" نسيئة إلى الموسم او الحج".
Hum se Ali Bin Abdullah-al-Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne, unhon ne Abu Minhal (Abdur Rahman Bin Mut'im) se suna, Abdur Rahman Bin Mut'im ne bayan kiya ke mere ek sajhi ne bazaar mein chand dirham udhaar farokht kiye, mein ne is se kaha: Subhan Allah! Kya ye jaiz hai? Unhon ne kaha: Subhan Allah, Allah ki qasam! Mein ne bazaar mein ise becha to kisi ne bhi qabil-e-itiraz nahi samjha. Mein ne Bara Bin Azib Radi Allahu Anhu se is ke mutaliq poocha to unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jab (hijrat kar ke) tashreef laye to is tarah khreed o farokht kiya karte thay. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke khreed o farokht ki is surat mein agar mamla dast ba dast (naqd) ho to koi muzaiqa nahi lekin agar udhaar par mamla kiya to phir ye surat jaiz nahi aur Zaid Bin Arqam se bhi mil kar is ke mutaliq pooch lo kyunke wo hum mein bare saudagar thay. Mein ne Zaid Bin Arqam se poocha to unhon ne bhi yahi kaha ke Sufyan ne ek martaba yun bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jab hamare yahan Madinah tashreef laye to hum (is tarah ki) khreed o farokht kiya karte thay aur bayan kiya ke udhaar mausam tak ke liye ya (yun bayan kiya ke) hajj tak ke liye
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2181

Hadith Number: 2498

Hadith Number: 3940