الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْبُيُوعِ
The Book of Sales (Bargains)
بَابُ التِّجَارَةِ فِي الْبَرِّ:
Chapter. Trade of cloth and other things.
Hadith Number: Q2060
وقوله: رجال لا تلهيهم تجارة ولا بيع عن ذكر الله سورة النور آية 37، وقال قتادة: كان القوم يتبايعون ويتجرون، ولكنهم إذا نابهم حق من حقوق الله، لم تلههم تجارة ولا بيع عن ذكر الله حتى يؤدوه إلى الله.
Aur Allah Ta'ala ka farman «Rijalul-la tulhee-him tijaratun-wala bai-un-an dhikril-lah» (Surah-al-Noor mein) ke kuch log aise bhi hain jinhein tijarat aur khareed-o-farokht Allah Ta'ala ki yaad se ghafil nahi karti. Qatada ne kaha ke kuch log aise thay jo khareed-o-farokht aur tijarat karte thay lekin agar Allah ke huqooq mein se koi haqq samne aa jata to un ki tijarat aur khareed-o-farokht unhein Allah ki yaad se ghafil nahi rakh sakti thi, jab tak wo Allah ke haqq ko ada na kar lein. (Un ko chain nahi aata tha)
.
.
Hadith Number: 2060
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، قال: اخبرني عمرو بن دينار، عن ابي المنهال، قال: كنت اتجر في الصرف، فسالت زيد بن ارقم رضي الله عنه، فقال: قال النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني الفضل بن يعقوب، حدثنا الحجاج بن محمد، قال ابن جريج: اخبرني عمرو بن دينار، وعامر بن مصعب، انهما سمعا ابا المنهال، يقول: سالت البراء بن عازب، وزيد بن ارقم عن الصرف، فقالا: كنا تاجرين على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم،" فسالنا رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الصرف؟ فقال: إن كان يدا بيد فلا باس، وإن كان نساء فلا يصلح".
Hum se Abu Asim ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Ibn Juraij ne bayan kiya, ke mujhe Amr Bin Dinar ne khabar di aur un se Abu-al-Minhal ne bayan kiya ke mein sone chandi ki tijarat kiya karta tha. Is liye mein ne Zaid Bin Arqam (Radi Allahu Anhu) se is ke mutaliq poocha to unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya. Aur mujh se Fazal Bin Yaqub ne bayan kiya, kaha ke hum se Hajjaj Bin Muhammad ne bayan kiya ke Ibn Juraij ne bayan kiya ke mujhe Amr Bin Dinar aur Aamir Bin Mus'ab ne khabar di, un donon hazraat ne Abu-al-Minhal se suna. Unhon ne bayan kiya ke mein ne Bara Bin Azib aur Zaid Bin Arqam (Radi Allahu Anhuma) se sone chandi ki tijarat ke mutaliq poocha, to un donon buzurgon ne farmaya ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ahd mein tajir thay, is liye hum ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se sone chandi ke mutaliq poocha tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jawab ye diya tha ke (lein dein) hathon hath ho to koi haraj nahi lekin udhaar ki soorat mein jaiz nahi hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2061