الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب الصوم يوم النحر:
Bab: Eid al-Adha ke din ka roza rakhna.
Hadith Number: 1995
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، حدثنا عبد الملك بن عمير، قال: سمعت قزعة، قال: سمعت ابا سعيد الخدري رضي الله عنه، وكان غزا مع النبي صلى الله عليه وسلم ثنتي عشرة غزوة، قال: سمعت اربعا من النبي صلى الله عليه وسلم فاعجبنني، قال:" لا تسافر المراة مسيرة يومين إلا ومعها زوجها، او ذو محرم، ولا صوم في يومين الفطر والاضحى، ولا صلاة بعد الصبح حتى تطلع الشمس، ولا بعد العصر حتى تغرب، ولا تشد الرحال إلا إلى ثلاثة مساجد: مسجد الحرام، ومسجد الاقصى، ومسجدي هذا".
Hum se Hajjaj Bin Minhal ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abdul Malik Bin Umair ne bayan kiya, kaha ke mein ne Qaz'ah se suna, unhon ne kaha ke mein ne Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) se suna, aap Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath barah jihadon mein shareek rahe thay. Unhon ne kaha ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se char baatein suni hain jo mujhe bahut hi pasand aayiein. Aap ne farmaya ke koi aurat do din (ya is se zyada) ke andaze ka safar is waqt tak na kare jab tak is ke sath is ka shohar ya koi aur mahram na ho. Aur Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ke dinon mein roza rakhna jaiz nahi hai aur subah ki namaz ke baad sooraj nikalne tak aur asr ki namaz ke baad sooraj doobne tak koi namaz jaiz nahi aur chauthi baat ye ke teen masajid ke siwa aur kisi jagah ke liye «shadd-ul-rihal» safar na kiya jaye, ”Masjid-ul-Haram, Masjid-ul-Aqsa aur meri ye masjid (Masjid-e-Nabwi)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 586
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عطاء بن يزيد الجندعي، انه سمع ابا سعيد الخدري، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا صلاة بعد الصبح حتى ترتفع الشمس، ولا صلاة بعد العصر حتى تغيب الشمس".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne Saleh se yeh hadees bayan ki , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne kaha mujh se Ata bin Yazid Jundai Laithi ne bayan kiya ke unhon ne Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu se suna . Unhon ne farmaya ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se suna , aap salla Allahu alaihi wa sallam farma rahe thay ke fajr ki namaz ke baad koi namaz sooraj ke buland hone tak na parhi jaye , isi tarah asr ki namaz ke baad sooraj doobne tak koi namaz na parhi jaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة