الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب صوم يوم الفطر:
Bab: Eid al-Fitr ke din roza rakhna.
Hadith Number: 1990
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن ابي عبيد مولى ابن ازهر، قال:" شهدت العيد مع عمر بن الخطابرضي الله عنه، فقال: هذان يومان نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن صيامهما: يوم فطركم من صيامكم، واليوم الآخر تاكلون فيه من نسككم"، قال ابو عبد الله: قال ابن عيينة: من قال مولى ابن ازهر فقد اصاب، ومن قال مولى عبد الرحمن بن عوف، فقد اصاب.
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhon ne kaha ke hum se Ibn Azhar ke ghulam Abu Ubaid ne bayan kiya ke Eid ke din mein Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) ke khidmat mein hazir tha. Aap ne farmaya ye do din aise hain jin ke rozon ki Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne maman'at farmayi hai. (Ramzan ke) rozon ke baad iftar ka din (Eid-ul-Fitr) aur doosra wo din jis mein tum apni qurbani ka gosht khate ho (yaani Eid-ul-Adha ka din). Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha Sufyan Bin Uyainah ne kaha, jis ne Abu Ubaid ko Ibn Azhar ka ghulam kaha is ne bhi theek kaha, aur jis ne Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) ka ghulam kaha is ne bhi theek kaha. (Is ki wajah ye hai ke Ibn Azhar aur Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu donon is ghulam mein shareek thay)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5571
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، قال: اخبرني يونس، عن الزهري، قال: حدثني ابو عبيد مولى ابن ازهر، انه شهد العيد يوم الاضحى مع عمر بن الخطاب رضي الله عنه فصلى قبل الخطبة، ثم خطب الناس، فقال:" يا ايها الناس، إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قد نهاكم عن صيام هذين العيدين، اما احدهما فيوم فطركم من صيامكم، واما الآخر فيوم تاكلون من نسككم".
Hum se Habban bin Musa ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah ne khabar di , unhon ne kaha ke mujhe Yunus ne khabar di , in se Zuhri ne , unhon ne kaha ke mujhe Ibn Az-har ke ghulam Abu Ubaid ne bayan kiya ke woh Baqar Eid ke din Umar bin Khattab razi Allahu anhu ke saath Eid-gaah mein maujood thay . Umar razi Allahu anhu ne khutba se pehle Eid ki namaz parhayi phir logon ke samne khutba diya aur khutba mein farmaya Ae logo! Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne tumhein in do Eidon mein roza rakhne se mana farmaya hai ek woh din hai jis din tum (Ramzan ke) roze poore kar ke iftaar karte ho (Eid-ul-Fitr) aur doosra tumhari qurbani ka din hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5573
قال ابو عبيد: ثم شهدته مع علي بن ابي طالب، فصلى قبل الخطبة، ثم خطب الناس، فقال:" إن رسول الله صلى الله عليه وسلم نهاكم ان تاكلوا لحوم نسككم فوق ثلاث"، وعن معمر، عن الزهري، عن ابي عبيد نحوه.
Abu Ubaid ne bayan kiya ke phir main Eid ki namaz mein Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ke saath aaya . Unhon ne bhi namaz khutba se pehle parhayi phir logon ko khutba diya aur kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne tumhein apni qurbani ka gosht teen din se zyada khane ki mamanat ki hai aur Mamar ne Zuhri se aur in se Abu Ubaidah ne isi tarah bayan kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6705
حدثنا محمد بن ابي بكر المقدمي، حدثنا فضيل بن سليمان، حدثنا موسى بن عقبة، حدثنا حكيم بن ابي حرة الاسلمي، انه سمع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، سئل عن رجل نذر ان لا ياتي عليه يوم إلا صام، فوافق يوم اضحى او فطر، فقال:" لقد كان لكم في رسول الله اسوة حسنة، لم يكن يصوم يوم الاضحى والفطر، ولا يرى صيامهما".
Hum se Muhammad bin Abu Bakr Muqad-dami ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Fuzhail bin Sulayman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Musa bin Uqbah ne bayan kiya, kaha hamase Hakeem bin Abi Harra Aslami ne bayan kiya, unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna, in se aise shakhs ke mutalliq poochha gaya jis ne nazr maani ho ke kuch makhsus dinon mein roze rakkhe ga. Phir ittifaq se unhi dinon mein Baqr-Eid ya Eid ke din par gaye hon? Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke tumhare liye Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ki zindagi behtareen namoona hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Baqr-Eid aur Eid ke din roze nahi rakhte thay aur na in dinon mein roze ko jaiz samajhte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة