الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب صوم شعبان:
Bab: Maah Sha'ban mein roze rakhne ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 1969
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي النضر، عن ابي سلمة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يصوم، حتى نقول: لا يفطر، ويفطر حتى نقول: لا يصوم، فما رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم استكمل صيام شهر إلا رمضان، وما رايته اكثر صياما منه في شعبان".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Abu-al-Nadr ne, unhein Abu Salma ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya, ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) nafal roza rakhne lagte to hum (aapas mein) kehte ke ab aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) roza rakhna chorein ge hi nahi. Aur jab roza chor dete to hum kehte ke ab aap roza rakhein ge hi nahi. Mein ne Ramzan ko chor kar Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko kabhi poore mahine ka nafli roza rakhte nahi dekha aur jitne roze aap Shaban mein rakhte mein ne kisi mahina mein is se zyada roze rakhte aap ko nahi dekha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1141
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله , قال: حدثني محمد بن جعفر، عن حميد، انه سمع انسا رضي الله عنه يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يفطر من الشهر حتى نظن ان لا يصوم منه، ويصوم حتى نظن ان لا يفطر منه شيئا، وكان لا تشاء ان تراه من الليل مصليا إلا رايته، ولا نائما إلا رايته" تابعه سليمان، وابو خالد الاحمر، عن حميد.
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , un se Humayd Taweel ne , unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna , woh kehte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam kisi maheena mein roza na rakhte to aisa maloom hota ke ab Aap salla Allahu alaihi wasallam is maheena mein roza hi nahin rakhein ge aur agar kisi maheena mein roza rakhna shuru karte to khayal hota ke ab Aap salla Allahu alaihi wasallam ka is maheena ka ek din bhi baghair roza ke nahin reh jaye ga aur raat ko namaaz to aisi parhte thay ke tum jab chahte Aap ko namaaz parhte dekh lete aur jab chahte sota dekh lete . Muhammad bin Jafar ke saath is hadees ko Sulayman aur Abu Khalid ne bhi Humayd se riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1970
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، ان عائشة رضي الله عنها حدثته، قالت:" لم يكن النبي صلى الله عليه وسلم يصوم شهرا اكثر من شعبان، فإنه كان يصوم شعبان كله، وكان يقول: خذوا من العمل ما تطيقون، فإن الله لا يمل حتى تملوا، واحب الصلاة إلى النبي صلى الله عليه وسلم ما دووم عليه وإن قلت، وكان إذا صلى صلاة داوم عليها.
Hum se Maaz Bin Fazala ne bayan kiya, un se Hisham ne bayan kiya, un se Yahya ne, un se Abu Salma ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Shaban se zyada aur kisi mahina mein roze nahi rakhte thay, Shaban ke poore dinon mein aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) roza se rehte. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmaya karte thay ke amal wahi ikhtiyar karo jis ki tum mein taqat ho kyunke Allah Ta'ala (sawab dene se) nahi thakta. Tum khud hi ukta jao ge. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) is namaz ko sab se zyada pasand farmate jis par hameshi-gi ikhtiyar ki jaye khwah kam hi kyun na ho. Chunanche Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab koi namaz shuru karte to usay hamesha parhte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1972
حدثني عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني محمد بن جعفر، عن حميد، انه سمع انسا رضي الله عنه، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يفطر من الشهر، حتى نظن ان لا يصوم منه، ويصوم حتى نظن ان لا يفطر منه شيئا، وكان لا تشاء تراه من الليل مصليا إلا رايته، ولا نائما إلا رايته"، وقال سليمان، عن حميد، انه سال انسا في الصوم.
Hum se Abdul Aziz Bin Abdul-lah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Muhammad Bin Jafar ne bayan kiya, un se Humaid Taweel ne aur unhon ne Anas (Radi Allahu Anhu) se suna, aap ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) kisi mahina mein be-roza ke rehte to humein khayal hota ke is mahina mein aap roza rakhein ge hi nahi. Isi tarah kisi mahina mein nafal roza rakhne lagte to hum khayal karte ke ab is mahina ka ek din bhi be-roze ke nahi guzre ga. Jo jab bhi chahta Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko raat mein namaz parhte dekh sakta tha aur jab bhi chahta sota hua bhi dekh sakta tha. Suleiman ne Humaid Taweel se yun bayan kiya ke unhon ne Anas (Radi Allahu Anhu) se roze ke mutaliq poocha tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6465
حدثني محمد بن عرعرة، حدثنا شعبة، عن سعد بن إبراهيم، عن ابي سلمة، عن عائشة رضي الله عنها، انها قالت: سئل النبي صلى الله عليه وسلم اي الاعمال احب إلى الله؟ قال:" ادومها، وإن قل، وقال: اكلفوا من الاعمال ما تطيقون".
Mujh se Muhammad bin Ar-ara ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Saad bin Ibrahim ne , in se Abu Salamah ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha gaya kaun sa amal Allah ke nazdeek zyada pasandida hai ? Farmaya ke jis par hameshagi ki jaye , khwah woh thori hi ho aur farmaya naik kaam karne mein itni hi takleef uthao jitni taqat hai (jo hamesha nibh sake) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة