الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّوْمِ
The Book of As-Saum (The Fasting).
بَابُ صَوْمِ شَعْبَانَ:
Chapter. Saum (fasting) in the month of Sha‘ban.
Hadith Number: 1969
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي النضر، عن ابي سلمة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يصوم، حتى نقول: لا يفطر، ويفطر حتى نقول: لا يصوم، فما رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم استكمل صيام شهر إلا رمضان، وما رايته اكثر صياما منه في شعبان".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Abu-al-Nadr ne, unhein Abu Salma ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya, ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) nafal roza rakhne lagte to hum (aapas mein) kehte ke ab aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) roza rakhna chorein ge hi nahi. Aur jab roza chor dete to hum kehte ke ab aap roza rakhein ge hi nahi. Mein ne Ramzan ko chor kar Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko kabhi poore mahine ka nafli roza rakhte nahi dekha aur jitne roze aap Shaban mein rakhte mein ne kisi mahina mein is se zyada roze rakhte aap ko nahi dekha
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1970
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، ان عائشة رضي الله عنها حدثته، قالت:" لم يكن النبي صلى الله عليه وسلم يصوم شهرا اكثر من شعبان، فإنه كان يصوم شعبان كله، وكان يقول: خذوا من العمل ما تطيقون، فإن الله لا يمل حتى تملوا، واحب الصلاة إلى النبي صلى الله عليه وسلم ما دووم عليه وإن قلت، وكان إذا صلى صلاة داوم عليها.
Hum se Maaz Bin Fazala ne bayan kiya, un se Hisham ne bayan kiya, un se Yahya ne, un se Abu Salma ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Shaban se zyada aur kisi mahina mein roze nahi rakhte thay, Shaban ke poore dinon mein aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) roza se rehte. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmaya karte thay ke amal wahi ikhtiyar karo jis ki tum mein taqat ho kyunke Allah Ta'ala (sawab dene se) nahi thakta. Tum khud hi ukta jao ge. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) is namaz ko sab se zyada pasand farmate jis par hameshi-gi ikhtiyar ki jaye khwah kam hi kyun na ho. Chunanche Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab koi namaz shuru karte to usay hamesha parhte thay
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة