الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّوْمِ
The Book of As-Saum (The Fasting).
بَابُ مَا يُذْكَرُ مِنْ صَوْمِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَإِفْطَارِهِ:
Chapter. What is said about the fasting and non-fasting (periods) of the Prophet ﷺ.
Show diacritics
Hadith Number: 1971
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" ما صام النبي صلى الله عليه وسلم شهرا كاملا قط غير رمضان، ويصوم حتى يقول القائل: لا والله لا يفطر، ويفطر حتى يقول القائل: لا والله لا يصوم".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, un se Abu Awanah ne bayan kiya, un se Abu Bishr ne, un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Ramzan ke siwa Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kabhi poore mahine ka roza nahi rakkha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) nafal roza rakhne lagte to dekhne wala keh utthe ke bakhuda, ab aap be-roza nahi rahein ge aur isi tarah jab nafal roza chor dete to kehne wala kehta ke wallah! ab aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) roza nahi rakhein ge
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1972
حدثني عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني محمد بن جعفر، عن حميد، انه سمع انسا رضي الله عنه، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يفطر من الشهر، حتى نظن ان لا يصوم منه، ويصوم حتى نظن ان لا يفطر منه شيئا، وكان لا تشاء تراه من الليل مصليا إلا رايته، ولا نائما إلا رايته"، وقال سليمان، عن حميد، انه سال انسا في الصوم.
Hum se Abdul Aziz Bin Abdul-lah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Muhammad Bin Jafar ne bayan kiya, un se Humaid Taweel ne aur unhon ne Anas (Radi Allahu Anhu) se suna, aap ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) kisi mahina mein be-roza ke rehte to humein khayal hota ke is mahina mein aap roza rakhein ge hi nahi. Isi tarah kisi mahina mein nafal roza rakhne lagte to hum khayal karte ke ab is mahina ka ek din bhi be-roze ke nahi guzre ga. Jo jab bhi chahta Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko raat mein namaz parhte dekh sakta tha aur jab bhi chahta sota hua bhi dekh sakta tha. Suleiman ne Humaid Taweel se yun bayan kiya ke unhon ne Anas (Radi Allahu Anhu) se roze ke mutaliq poocha tha
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1973
حدثني محمد هو ابن سلام، اخبرنا ابو خالد الاحمر، اخبرنا حميد، قال: سالت انسا رضي الله عنه، عن صيام النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" ما كنت احب ان اراه من الشهر صائما إلا رايته، ولا مفطرا إلا رايته، ولا من الليل قائما إلا رايته، ولا نائما إلا رايته، ولا مسست خزة ولا حريرة الين من كف رسول الله صلى الله عليه وسلم، ولا شممت مسكة ولا عبيرة اطيب رائحة من رائحة رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Muhammad Bin Salam ne bayan kiya, kaha ke hum ko Abu Khalid Ahmar ne khabar di, kaha ke hum ko Humaid ne khabar di, kaha ke mein ne Anas (Radi Allahu Anhu) se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke rozon ke mutaliq poocha. Aap ne farmaya ke jab bhi mera dil chahta ke aap ko roze se dekhoon to mein aap ko roze se hi dekhta. Aur baghair roze ke chahta to baghair roze se hi dekhta. Raat mein kharay (namaz parhte) dekhna chahta to isi tarah namaz parhte dekhta. Aur sote hue dekhna chahta to isi tarah dekhta. Mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke mubarak hathon se zyada narm-o-nazuk resham ke kapron ko bhi nahi dekha. Aur na mushk-o-anbar ko aap ki khushboo se zyada khushboodar paya
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain