الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب هل يقال رمضان أو شهر رمضان ومن رأى كله واسعا:
Bab: Ramzan kaha jaye ya Maah Ramzan? Aur jin ke nazdeek dono lafzon ki gunjaish hai.
Hadith Number: 1898
حدثنا قتيبة، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن ابي سهيل، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا جاء رمضان فتحت ابواب الجنة".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha hum se Ismail Bin Jafar ne bayan kiya, un se Abu Suhail Nafi Bin Malik ne, un se un ke walid ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jab Ramzan aata hai to jannat ke darwaze khol diye jate hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1899
حدثني يحيى بن بكير، قال: حدثني الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابن ابي انس مولى التيميين ان اباه حدثه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا دخل شهر رمضان، فتحت ابواب السماء، وغلقت ابواب جهنم، وسلسلت الشياطين".
Mujh se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke mujh se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne un se Ibn Shihab Zuhri ne bayan kiya ke mujhe Bano Tamim ke maula Abu Suhail Bin Abi Anas ne khabar di, un se un ke walid ne bayan kiya, aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko kehte suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jab Ramzan ka mahina aata hai to aasman ke tamam darwaze khol diye jate hain, jahannum ke darwaze band kar diye jate hain aur shayateen ko zanjeeron se jakar diya jata hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3277
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: حدثني ابن ابي انس مولى التيميين، ان اباه حدثه انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا دخل رمضان فتحت ابواب الجنة وغلقت ابواب جهنم وسلسلت الشياطين".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Taymiyyeen ke maula Ibn Abi Anas ne bayan kiya, un se un ke walid ne bayan kiya ke Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna tha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab Ramzan ka mahina aata hai to Jannat ke darwaze khol diye jate hain. Jahannum ke darwaze band kar diye jate hain aur shayatin ko zanjeeron mein kas diya jata hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة