الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب فضل الصوم:
Bab: Roza ki fazilat ka bayan.
Hadith Number: 1894
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: الصيام جنة، فلا يرفث، ولا يجهل، وإن امرؤ قاتله او شاتمه، فليقل: إني صائم مرتين، والذي نفسي بيده لخلوف فم الصائم اطيب عند الله تعالى من ريح المسك، يترك طعامه، وشرابه، وشهوته من اجلي الصيام لي، وانا اجزي به والحسنة بعشر امثالها".
Hum se Abdullah Bin Muslimah Qanabi ne bayan kiya, un se Imam Malik ne, un se Abu-al-Zinad ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya roza dozakh se bachne ke liye ek dhaal hai is liye (roza dar) na fuhsh baatein kare aur na jahalat ki baatein aur agar koi shakhs is se lare ya usay gaali de to is ka jawab sirf ye hona chahiye ke mein roza dar hoon, (ye alfaz) do martaba (keh de) is zaat ki qasam! jis ke hath mein meri jaan hai roza dar ke munh ki boo Allah ke nazdeek kasturi ki khushboo se bhi zyada pasandida aur pakiza hai, (Allah Ta'ala farmata hai) banda apna khana peena aur apni shahwat mere liye chor deta hai, roza mere liye hai aur mein hi is ka badla doon ga aur (doosri) naikiyon ka sawab bhi asal naiki ke das guna hota hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1904
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، عن ابن جريج، قال: اخبرني عطاء، عن ابي صالح الزيات، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: قال الله:" كل عمل ابن آدم له، إلا الصيام فإنه لي، وانا اجزي به، والصيام جنة، وإذا كان يوم صوم احدكم فلا يرفث ولا يصخب، فإن سابه احد او قاتله، فليقل: إني امرؤ صائم، والذي نفس محمد بيده، لخلوف فم الصائم اطيب عند الله من ريح المسك، للصائم فرحتان يفرحهما: إذا افطر فرح، وإذا لقي ربه فرح بصومه".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha ke hum ko Hisham Bin Yusuf ne khabar di, unhein Ibn Juraij ne kaha ke mujhe Ata ne khabar di, unhein Abu Salih (jo roghan-e-zaitoon aur ghee bechte thay) ne unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Allah Paak farmata hai ke insan ka har naik amal khud isi ke liye hai magar roza ke wo khas mere liye hai aur mein hi is ka badla doon ga aur roza gunahon ki ek dhaal hai, agar koi roze se ho to usay fuhsh goi na karni chahiye aur na shor machaye, agar koi shakhs is ko gaali de ya larna chahe to is ka jawab sirf ye ho ke mein ek roza dar aadmi hoon, is zaat ki qasam jis ke hath mein Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki jaan hai! roza dar ke munh ki boo Allah Ta'ala ke nazdeek mushk ki khushboo se bhi zyada behtar hai, roza dar ko do khushiyan hasil hon gi (ek to jab) wo iftar karta hai to khush hota hai aur (doosre) jab wo apne Rabb se mulaqat kare ga to apne roze ka sawab pa kar khush ho ga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5927
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كل عمل ابن آدم له إلا الصوم فإنه لي وانا اجزي به، ولخلوف فم الصائم اطيب عند الله من ريح المسك".
Mujh se Abdullah bin Muhammad Hamdani ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Yusuf San-aani ne bayan kiya, kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Saeed bin al-Musayyab ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”(ke Allah Ta'ala ne farmaya) ibn e Adam ka har amal is ka hai siwa roza ke ke yeh mera hai aur main khud is ka badla doon ga aur roza-dar ke munh ke khushboo Allah ke nazdeek mushk ki khushboo se bhi barh kar hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7492
حدثنا ابو نعيم، حدثنا الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يقول الله عز وجل: الصوم لي وانا اجزي به يدع شهوته، واكله وشربه من اجلي، والصوم جنة وللصائم فرحتان: فرحة حين يفطر، وفرحة حين يلقى ربه، ولخلوف فم الصائم اطيب عند الله من ريح المسك".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Aamash ne bayan kiya , in se Abu Salih ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Az-za wa Jal farmata hai ke roza khalis meere liye hota hai aur main hi is ka badla deta hoon . Banda apni shahwat , khana peena meri raza ke liye chhorrta hai aur roza gunahon se bachne ki dhaal hai aur roza-dar ke liye do khushiyaan hain . Ek khushi is waqt jab woh iftar karta hai aur ek khushi is waqt jab woh apne Rabb se milta hai aur roza-dar ke munh ki boo , Allah ke nazdeek mushk e ambar ki khushboo se zyada pakeeza hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7538
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محمد بن زياد، قال: سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم يرويه، عن ربكم، قال:" لكل عمل كفارة، والصوم لي وانا اجزي به، ولخلوف فم الصائم اطيب عند الله من ريح المسك".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , kaha hamase Muhammad bin Ziyad ne bayan kiya , kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhuse suna in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne , Allah Ta'ala se riwayat karte hain ke Parvardigar ne farmaya har gunah ka ek kaf-fara hai (jis se woh gunah maaf ho jata hai) aur roza khaas meere liye hai aur main hi is ki jaza doon ga aur roza-dar ke munh ki boo Allah ke nazdeek mushk ki khushboo se barh kar hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة