الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب جزاء الصيد
Kitab: Shikar ke badle ka bayan
باب ما يقتل المحرم من الدواب:
Bab: Ihram wala kon kon se janwar maar sakta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1826
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" خمس من الدواب ليس على المحرم في قتلهن جناح".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Nafi ne khabar di, aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya panch janwar aise hain jinhein marne mein muhrim ke liye koi haraj nahi hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3310
حدثني عمرو بن علي، حدثنا ابن ابي عدي، عن ابي يونس القشيري، عن ابن ابي مليكة، ان ابن عمر كان يقتل الحيات ثم نهى، قال: إن النبي صلى الله عليه وسلم هدم حائطا له فوجد فيه سلخ حية، فقال: انظروا اين هو فنظروا، فقال: اقتلوه فكنت اقتلها لذلك.
Hum se Amr Bin Ali Fallas ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Adi ne bayan kiya, un se Abu Yunus Qushairi (Hatim Bin Abi Saghira) ne, un se Ibn Abi Mulaika ne ke Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) sanpon ko pehle maar dala karte thay lekin baad mein unhein maarne se khud hi mana karne lage. Unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apni ek deewar girwayi to is mein se ek saanp ki kenchli nikli, Aap ne farmaya ke dekho, wo saanp kahan hai. Sahaba (Radi Allahu Anhum) ne talash kiya (aur wo mil gaya to) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ise maar dalo, mein bhi isi wajah se sanpon ko maar dala karta tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة