الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العمرة
Kitab: Umrah ke masail ka bayan
باب الدخول بالعشي:
Bab: Shaam mein ghar ko aana.
Hadith Number: 1800
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا همام، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس رضي الله عنه، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم لا يطرق اهله، كان لا يدخل إلا غدوة او عشية".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Hammam ne bayan kiya, un se Ishaq Bin Abdullah Bin Abi Talha ne bayan kiya, un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) (safar se) raat ko ghar nahi pohanchte thay ya subah ke waqt pohanch jate ya dopahar baad (zawal se le kar ghuroob-e-aftab tak kisi bhi waqt tashreef late)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1801
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا شعبة، عن محارب، عن جابر رضي الله عنه، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يطرق اهله ليلا".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muharib Bin Dithar ne aur un se Jabir (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (safar se) ghar raat ke waqt utarne se mana farmaya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5243
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محارب بن دثار، قال: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم" يكره ان ياتي الرجل اهله طروقا".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya, kaha hum se Shubah ne byaan kiya, kaha hum se Muharib bin Disaar ne byaan kiya, kaha ke main ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne suna, unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam kisi shakhs se raat ke waqt apne ghar (safar se achanaak) aane par napasandidgi ka izhaar farmate thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5244
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عاصم بن سليمان، عن الشعبي، انه سمع جابر بن عبد الله، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا اطال احدكم الغيبة فلا يطرق اهله ليلا".
Hum se Muhammad bin Muqatil Marwazi ne byaan kiya, kaha hum ko Abdullah bin al-Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Aasim bin Sulayman ne khabar di, unhein Aamir Shabi ne aur un se Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum mein se koi shakhs zyada dinon tak apne ghar se door ho to yak-ayak raat ko apne ghar mein na aa jaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5246
حدثنا محمد بن الوليد، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن سيار، عن الشعبي، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا دخلت ليلا فلا تدخل على اهلك حتى تستحد المغيبة وتمتشط الشعثة"، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فعليك بالكيس الكيس". تابعه عبيد الله، عن وهب، عن جابر، عن النبي صلى الله عليه وسلم: في الكيس.
Hum se Muhammad bin Waleed ne byaan kiya, kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya, kaha hum se Shubah ne byaan kiya, in se Sayyar ne, un se Shabi ne aur un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (Ghazwa Tabook se wapsi ke waqt) farmaya, jab raat ke waqt tum Madinah mein pahuncho to is waqt tak apne gharon mein na jaana jab tak un ki biwiyaan jo Madinah Munawwarah mein maujood nahi thay, apna mu-e-zer-e-naaf saaf na kar lein aur jin ke baal paraganda hon woh kangha na kar lein. Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir zaroori hai ke jab tum ghar pahuncho to khoob khoob «kaysu» kijo. Shabi ke saath is hadees ko Ubaidullah ne bhi Wahb bin Kaysan se, unhon ne Jabir razi Allahu anhu se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya, is mein bhi «kaysu» ka zikr hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة