الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب من لم ير الوضوء إلا من المخرجين، من القبل والدبر:
Bab: Is bare mein ke ba’z logon ke nazdeek sirf peshab aur pakhanah ki raah se kuch nikalne se wudu tootta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 179
حدثنا سعد بن حفص، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، ان عطاء بن يسار اخبره، ان زيد بن خالد اخبره، انه سال عثمان بن عفان رضي الله عنه، قلت: ارايت إذا جامع فلم يمن، قال عثمان:" يتوضا كما يتوضا للصلاة ويغسل ذكره"، قال عثمان: سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم، فسالت عن ذلك عليا، والزبير، وطلحة، وابي بن كعب رضي الله عنهم، فامروه بذلك.
Hum se Sa’d bin Hafs ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shaibaan ne Yahya ke waaste se naql kiya, woh Ata bin Yasaar se naql karte hain, unhein Zaid bin Khalid ne khabar di ke unhon ne Uthman bin Affan Radhiallahu Anhu se poocha ke agar koi shakhs sohbat kare aur mani na nikle. Farmaaya ke Wuzu kare jis tarah Namaz ke liye Wuzu karta hai aur apne uzw ko dho le. Uthman Radhiallahu Anhu kehte hain ke (yeh) main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna hai. (Zaid bin Khalid kehte hain ke) phir main ne is ke baare mein ’Ali, Zubair, Talha aur Ubai bin Ka’b Radhiallahu Anhum se daryaaft kiya. Sab ne us shakhs ke baare mein yahi hukm diya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 292
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، عن الحسين، قال يحيى: واخبرني ابو سلمة، ان عطاء بن يسار اخبره، ان زيد بن خالد الجهني اخبره، انه سال عثمان بن عفان، فقال: ارايت إذا جامع الرجل امراته فلم يمن، قال عثمان:" يتوضا كما يتوضا للصلاة ويغسل ذكره"، قال عثمان: سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم، فسالت عن ذلك علي بن ابي طالب، والزبير بن العوام، وطلحة بن عبيد الله، وابي بن كعب رضي الله عنهم فامروه بذلك، قال يحيى: واخبرني ابو سلمة، ان عروة بن الزبير اخبره ان ابا ايوب اخبره، انه سمع ذلك من رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abu Ma’mar Abdullah bin ’Amr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Waaris bin Sa’eed ne bayan kiya, unhon ne Husain bin Zakwaan Mu’allim ke waaste se, un ko Yahya ne kaha mujh ko Abu Salamah bin Abdur Rahman bin ’Awf ne khabar di, un ko Ata bin Yasaar ne khabar di, unhein Zaid bin Khalid Juhani ne bataaya ke unhon ne Uthman bin Affan Radhiallahu Anhu se poocha ke mard apni biwi se hambistar huwa lekin inzaal nahi huwa to woh kya kare? Uthman Radhiallahu Anhu ne farmaaya ke Namaz ki tarah Wuzu kar le aur sharamgaah ko dho le aur Uthman Radhiallahu Anhu ne farmaaya ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se yeh baat suni hai. Main ne is ke mutalliq Ali bin Abi Talib, Zubair bin Al-Awaam, Talha bin Ubaidullah, Ubai bin Ka’b Radhiallahu Anhum se poocha to unhon ne bhi yahi farmaaya Yahya ne kaha aur Abu Salamah ne mujhe bataaya ke unhein ’Urwah bin Zubair ne khabar di, unhein Abu Ayyub Radhiallahu Anhu ne ke yeh baat unhon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se suni thi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة