الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب من صلى العصر يوم النفر بالأبطح:
Bab: Is se mutalliq jis ne rawangi ke din asr ki namaz Abtah mein parhi.
Show diacritics
Hadith Number: 1764
حدثنا عبد المتعال بن طالب، حدثنا ابن وهب، قال: اخبرني عمرو بن الحارث، ان قتادة حدثه، ان انس بن مالك رضي الله عنه حدثه،" عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه صلى الظهر والعصر والمغرب والعشاء ورقد رقدة بالمحصب، ثم ركب إلى البيت فطاف به".
Hum se Abdul Mutaal Bin Talib ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Ibn Wahb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Amr Bin Haris ne khabar di, un se Qatada ne bayan kiya aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Zohar, Asr, Maghrib, Isha Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne parhi aur thori der ke liye Muhassab mein so rahe, phir Bait Allah ki taraf sawar ho kar gaye aur tawaf kiya. (Yahan Tawaf-ul-Ziyarah murad hai)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1756
حدثنا اصبغ بن الفرج، اخبرنا ابن وهب، عن عمرو بن الحارث، عن قتادة، ان انس بن مالك رضي الله عنه حدثه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم صلى الظهر والعصر والمغرب والعشاء، ثم رقد رقدة بالمحصب، ثم ركب إلى البيت فطاف به" , تابعه الليث، حدثني خالد، عن سعيد، عن قتادة، ان انس بن مالك رضي الله عنه حدثه، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Asbagh Bin Faraj ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Ibn Wahb ne khabar di, unhein Amr Bin Haris ne, unhein Qatada ne aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Zohar, Asr, Maghrib aur Isha parhi, phir thori der Muhassab mein so rahe, is ke baad sawar ho kar Bait Allah tashreef le gaye aur wahan tawaf-e-ziyarat Amr Bin Haris ke sath kiya, is riwayat ki mutabiat Laith ne ki hai, un se Khalid ne bayan kiya, un se Saeed ne, un se Qatada ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se naqal kiya hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة