الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب من صلى العصر يوم النفر بالأبطح:
Bab: Is se mutalliq jis ne rawangi ke din asr ki namaz Abtah mein parhi.
Show diacritics
Hadith Number: 1763
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا إسحاق بن يوسف، حدثنا سفيان الثوري، عن عبد العزيز بن رفيع، قال: سالت انس بن مالك، اخبرني بشيء عقلته، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" اين صلى الظهر يوم التروية؟ , قال: بمنى، قلت: فاين صلى العصر يوم النفر؟ , قال: بالابطح، افعل كما يفعل امراؤك".
Hum se Muhammad Bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Ishaq Bin Yusuf ne bayan kiya, un se Sufyan Suri ne bayan kiya, un se Abdul Aziz Bin Rafiee ne bayan kiya ke mein ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se poocha, mujhe wo hadees bataye jo aap ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se yaad ho ke unhon ne athwein Zi Al-Hijjah ke din Zohar ki namaz kahan parhi thi, unhon ne kaha Mina mein, mein ne poocha aur rawangi ke din Asr kahan parhi thi unhon ne farmaya ke Abtah mein aur tum isi tarah karo jis tarah tumhare hakim log karte hon. (Taake fitna waqe na ho)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1653
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا إسحاق الازرق، حدثنا سفيان، عن عبد العزيز بن رفيع، قال: سالت انس بن مالك رضي الله عنه، قلت:" اخبرني بشيء عقلته عن النبي صلى الله عليه وسلم، اين صلى الظهر والعصر يوم التروية؟ قال: بمنى، قلت: فاين صلى العصر يوم النفر؟ قال: بالابطح , ثم قال: افعل كما يفعل امراؤك".
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha ke hum se Ishaq Azraq ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Suri ne Abdul Aziz Bin Rafiee ke waste se bayan kiya, kaha ke mein ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se poocha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Zohar aur Asr ki namaz athwein Zi Al-Hijjah mein kahan parhi thi? Agar aap ko Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se yaad hai to mujhe bataiye. Unhon ne jawab diya ke Mina mein. Mein ne poocha ke barahwein tareekh ko Asr kahan parhi thi? Farmaya ke Muhassab mein. Phir unhon ne farmaya ke jis tarah tumhare hukkam karte hain isi tarah tum bhi karo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة