الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب الوقوف بعرفة:
Bab: Maidan arafat mein thehrne ka byan
Hadith Number: 1665
حدثنا فروة بن ابي المغراء، حدثنا علي بن مسهر، عن هشام بن عروة، قال عروة" كان الناس يطوفون في الجاهلية عراة إلا الحمس، والحمس قريش، وما ولدت، وكانت الحمس يحتسبون على الناس يعطي الرجل الرجل الثياب يطوف فيها، وتعطي المراة المراة الثياب تطوف فيها، فمن لم يعطه الحمس طاف بالبيت عريانا، وكان يفيض جماعة الناس من عرفات، ويفيض الحمس من جمع، قال: واخبرني ابي، عن عائشة رضي الله عنها، ان هذه الآية نزلت في الحمس ثم افيضوا من حيث افاض الناس سورة البقرة آية 199، قال: كانوا يفيضون من جمع فدفعوا إلى عرفات".
Hum se Farwah Bin Abi Al-Maghra ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Ali Bin Mushir ne bayan kiya, un se Hisham Bin Urwah ne, un se Urwah Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Hums ke siwa baqiya sab log jahiliyat mein nange ho kar tawaf karte thay, Hums Quraish aur is ki aal aulad ko kehte thay, (aur Bani Kinana waghera, jaise Khuza'a) logon ko (Allah ke waste) kapre diya karte thay. (Quraish) ke mard doosre mardon ko taake unhein pehan kar tawaf kar sakein aur (Quraish ki) auratein doosri auraton ko taake wo unhein pehan kar tawaf kar sakein, aur jin ko Quraish kapra nahi dete wo Bait Allah ka tawaf nange ho kar karte. Doosre sab log to Arafat se wapas hote lekin Quraish Muzdalifah hi se (jo Haram mein tha) wapas ho jate. Hisham Bin Urwah ne kaha ke mere baap Urwah Bin Zubair ne mujhe Umm-ul-Momineen Aisha (Radi Allahu Anha) se khabar di ke ye ayat Quraish ke bare mein nazil hui ke ”Phir tum bhi (Quraish) wahin se wapas ao jahan se aur log wapas aate hain“ (yani Arafat se, Surah al-Baqarah) unhon ne bayan kiya ke Quraish Muzdalifah hi se laut aate thay is liye unhein bhi Arafat se lautne ka hukum hua
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3838
حدثني عمرو بن عباس، حدثنا عبد الرحمن، حدثنا سفيان، عن ابي إسحاق، عن عمرو بن ميمون، قال: قال عمر رضي الله عنه:" إن المشركين كانوا لا يفيضون من جمع حتى تشرق الشمس على ثبير فخالفهم النبي صلى الله عليه وسلم , فافاض قبل ان تطلع الشمس".
Mujh se Amr Bin Abbas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdur Rahman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Abu Ishaq ne bayan kiya, un se Amr Bin Maimoon ne bayan kiya ke Umar Radi Allahu Anhu ne kaha jab tak dhoop Sabir pahari par na aa jati Quraish (hajj mein) Muzdalifah se nahi nikla karte thay. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne in ki mukhalifat ki aur sooraj nikalne se pehle Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne wahan se kooch kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4520
حدثنا علي بن عبد الله , حدثنا محمد بن خازم , حدثنا هشام , عن ابيه , عن عائشة رضي الله عنها: كانت قريش ومن دان دينها يقفون بالمزدلفة، وكانوا يسمون الحمس وكان سائر العرب يقفون بعرفات، فلما جاء الإسلام امر الله نبيه صلى الله عليه وسلم ان ياتي عرفات، ثم يقف بها، ثم يفيض منها، فذلك قوله تعالى ثم افيضوا من حيث افاض الناس سورة البقرة آية 199".
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Hazim ne byaan kiya , un se Hisham ne byaan kiya , un se un ke walid ne aur un se Umm al-Momineen Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne ke Quraysh aur un ke tariqe ki pairwi karne wale Arab (hajj ke liye) Muzdalifa mein hi wuqoof kiya karte thay , is ka naam unhon ne al-Hums rakkha tha aur baqi Arab Arafat ke maidan mein wuqoof karte thay . Phir jab Islam aaya to Allah Ta'ala ne apne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko hukm diya ke Aap Arafat mein aayein aur wahin wuqoof karein aur phir wahan se Muzdalifa aayein . Aayat «summa afeedoo min haysu afadan naasu» se yahi murad hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة