الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَجِّ
The Book of Hajj
بَابُ الْوُقُوفِ بِعَرَفَةَ:
Chapter. The staying at Arafat.
Show diacritics
Hadith Number: 1664
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو، حدثنا محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه، كنت اطلب بعيرا لي. ح حدثنا مسدد، حدثنا سفيان، عن عمرو، سمع محمد بن جبير، عن ابيه جبير بن مطعم، قال: اضللت بعيرا لي فذهبت اطلبه يوم عرفة،" فرايت النبي صلى الله عليه وسلم واقفا بعرفة، فقلت: هذا والله من الحمس فما شانه ها هنا".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, kaha hum se Amr Bin Dinar ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Jubair Bin Mutim ne, un se un ke baap ne ke mein apna ek ont talash kar raha tha (Doosri sanad) aur hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne, unhon ne Muhammad Bin Jubair se suna ke un ke walid Jubair Bin Mutim ne bayan kiya ke mera ek ont kho gaya tha to mein Arafat mein us ko talash karne gaya, ye din Arafat ka tha, mein ne dekha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Arafat ke maidan mein kharay hain. Meri zaban se nikla qasam Allah ki! Ye to Quraish hain phir ye yahan kyun hain
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1665
حدثنا فروة بن ابي المغراء، حدثنا علي بن مسهر، عن هشام بن عروة، قال عروة" كان الناس يطوفون في الجاهلية عراة إلا الحمس، والحمس قريش، وما ولدت، وكانت الحمس يحتسبون على الناس يعطي الرجل الرجل الثياب يطوف فيها، وتعطي المراة المراة الثياب تطوف فيها، فمن لم يعطه الحمس طاف بالبيت عريانا، وكان يفيض جماعة الناس من عرفات، ويفيض الحمس من جمع، قال: واخبرني ابي، عن عائشة رضي الله عنها، ان هذه الآية نزلت في الحمس ثم افيضوا من حيث افاض الناس سورة البقرة آية 199، قال: كانوا يفيضون من جمع فدفعوا إلى عرفات".
Hum se Farwah Bin Abi Al-Maghra ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Ali Bin Mushir ne bayan kiya, un se Hisham Bin Urwah ne, un se Urwah Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Hums ke siwa baqiya sab log jahiliyat mein nange ho kar tawaf karte thay, Hums Quraish aur is ki aal aulad ko kehte thay, (aur Bani Kinana waghera, jaise Khuza'a) logon ko (Allah ke waste) kapre diya karte thay. (Quraish) ke mard doosre mardon ko taake unhein pehan kar tawaf kar sakein aur (Quraish ki) auratein doosri auraton ko taake wo unhein pehan kar tawaf kar sakein, aur jin ko Quraish kapra nahi dete wo Bait Allah ka tawaf nange ho kar karte. Doosre sab log to Arafat se wapas hote lekin Quraish Muzdalifah hi se (jo Haram mein tha) wapas ho jate. Hisham Bin Urwah ne kaha ke mere baap Urwah Bin Zubair ne mujhe Umm-ul-Momineen Aisha (Radi Allahu Anha) se khabar di ke ye ayat Quraish ke bare mein nazil hui ke ”Phir tum bhi (Quraish) wahin se wapas ao jahan se aur log wapas aate hain“ (yani Arafat se, Surah al-Baqarah) unhon ne bayan kiya ke Quraish Muzdalifah hi se laut aate thay is liye unhein bhi Arafat se lautne ka hukum hua
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain