الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب استلام الركن بالمحجن:
Bab: Hajar aswad ko chhari se chhuna aur choomna
Hadith Number: 1607
حدثنا احمد بن صالح، ويحيى بن سليمان، قالا: حدثنا ابن وهب، قال: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" طاف النبي صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع على بعير يستلم الركن بمحجن" تابعه الدراوردي، عن ابن اخي الزهري، عن عمه.
Hum se Ahmad bin Salih aur Yahya bin Sulayman ne byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke hum se Abdullah bin Wahab ne byaan kiya , kaha ke humein Yunus ne Ibn Shihab se khabar di , unhein Ubaidullah bin Abdullah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Hajjat-ul-Wada ke mauqe par apni oontni par tawaf kiya tha aur Aap salla Allahu alaihi wasallam Hajr-e-Aswad ka istilam ek chhari ke zariya kar rahe thay aur is chhari ko choomte thay . Aur Yunus ke saath is hadees ko Dara-wardi ne Zuhri ke bhatije se riwayat kiya aur unhon ne apne chacha (Zuhri) se .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1612
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" طاف النبي صلى الله عليه وسلم بالبيت على بعير، كلما اتى على الركن اشار إليه".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Wahab ne byaan kiya , kaha ke hum se Khalid Hazza ne Ikrimah se byaan kiya , un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek oontni par (sawar ho kar Kaaba ka) tawaf kar rahe thay aur jab bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam Hajr-e-Aswad ke saamne puhanchte to kisi cheez se us ki taraf ishaara karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1613
حدثنا مسدد، حدثنا خالد بن عبد الله، حدثنا خالد الحذاء، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" طاف النبي صلى الله عليه وسلم بالبيت على بعير، كلما اتى الركن اشار إليه بشيء كان عنده وكبر" تابعه إبراهيم بن طهمان، عن خالد الحذاء.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha ke hum se Khalid bin Abdullah ne byaan kiya , kaha ke hum se Khalid Hazza ne byaan kiya , un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Baitullah ka tawaf ek oontni par sawar reh kar kiya . Jab bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam Hajr-e-Aswad ke saamne puhanchte to kisi cheez se us ki taraf ishaara karte aur takbeer kehte . Khalid Tahhan ke saath is hadees ko Ibrahim bin Tahman ne bhi Khalid Hazza se riwayat kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1632
حدثني إسحاق الواسطي، حدثنا خالد، عن خالد الحذاء، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم طاف بالبيت وهو على بعير، كلما اتى على الركن اشار إليه بشيء في يده وكبر".
Hum se Ishaq Wasiti ne bayan kiya, kaha ke hum se Khalid Tahhan ne Khalid Hazza se bayan kiya, un se Ikrima ne, un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Bait Allah ka tawaf ont par sawar ho kar kiya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab bhi (tawaf karte hue) Hajar-e-Aswad ke nazdeek aate to apne hath ko ek cheez (chari) se ishara karte aur takbeer kehte
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5293
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا ابو عامر عبد الملك بن عمرو، حدثنا إبراهيم، عن خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" طاف رسول الله صلى الله عليه وسلم على بعيره، وكان كلما اتى على الركن اشار إليه وكبر، وقالت زينب: قال النبي صلى الله عليه وسلم: فتح من ردم ياجوج وماجوج مثل هذه وعقد تسعين".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha hum se Abu Aamir Abdul Malik bin Amr ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya , in se Khalid Hazza ne , in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Bayt-ullah ka tawaf apne oont par sawar ho kar kiya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab bhi rukn ke paas aate to is ki taraf isharah kar ke takbeer kehte aur Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Yajooj Majooj ke diwar mein itna surakh ho gaya hai aur Aap ne apni ungliyon se nawway ka adad banaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة