الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب وسم الإمام إبل الصدقة بيده:
Zakat ke oonton par haakim ka apne haath se daagh dena.
Show diacritics
Hadith Number: 1502
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا الوليد، حدثنا ابو عمرو الاوزاعي، حدثني إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، حدثني انس بن مالكرضي الله عنه , قال:" غدوت إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم بعبد الله بن ابي طلحة ليحنكه، فوافيته في يده الميسم يسم إبل الصدقة".
Hum se Ibrahim bin Al-Munzir ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Waleed ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abu Amru Awzai ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talhah ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main Abdullah bin Abi Talhah ko le kar Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua ke Aap salla Allahu alaihi wasallam in ki tahneek kar dein . (Yani apne munh se koi cheez chaba kar in ke munh mein daal dein) maine is waqt dekha ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ke haath mein daagh lagane ka aala tha aur Aap salla Allahu alaihi wasallam zakat ke oonton par daagh laga rahe thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5542
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن هشام بن زيد، عن انس، قال:" دخلت على النبي صلى الله عليه وسلم باخ لي يحنكه وهو في مربد له، فرايته يسم شاة، حسبته قال: في آذانها".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Hisham bin Zayd ne in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein apne bhai (Abdullah bin Abi Talha nau-moulud) ko laya taake Aap is ki tahneek farma dein. Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam is waqt oonton ke baare mein tashreef rakhte thay. Main ne dekha ke Aap ek bakri ko daagh rahe thay (Shubah ne kaha ke) main samajhta hoon ke (Hisham ne) kaha ke is ke kaanon ko daagh rahe thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5824
حدثني محمد بن المثنى، قال: حدثني ابن ابي عدي، عن ابن عون، عن محمد، عن انس رضي الله عنه، قال:" لما ولدت ام سليم، قالت لي: يا انس انظر هذا الغلام فلا يصيبن شيئا حتى تغدو به إلى النبي صلى الله عليه وسلم يحنكه، فغدوت به، فإذا هو في حائط وعليه خميصة حريثية، وهو يسم الظهر الذي قدم عليه في الفتح".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibn Abi Adi ne bayan kiya, in se Ibn Aun ne, in se Muhammad ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke jab Umm Sulaym razi Allahu anha ke yahan bacha paida hua to unhon ne mujh se kaha ke Anas is bacha ko dekhte raho koi cheez is ke pait mein na jaye aur ja kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko apne saath lao taake Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apna jootha is ke munh mein daalein. Chunanche main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt ek bagh mein thay aur Aap ke jism par qabila Bani Huraish ki bani hui chadar ( «khameesa huraishiyyah») thi aur Aap is sawari par nishan laga rahe thay jis par Aap Fatah Makkah ke mauqa par sawar thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة