الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب ما يذكر فى الصدقة للنبي صلى الله عليه وسلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam aur Aap Sallallahu alaihi wasallam ki Aal par sadaqa ka haraam hona.
Show diacritics
Hadith Number: 1491
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محمد بن زياد، قال: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، قال:" اخذ الحسن بن علي رضي الله عنهما تمرة من تمر الصدقة فجعلها في فيه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: كخ كخ، ليطرحها، ثم قال: اما شعرت انا لا ناكل الصدقة".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Muhammad bin Ziyad ne byaan kiya ‘ kaha ke maine Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ‘ unhon ne byaan kiya ke Hasan bin Ali razi Allahu anhuma ne zakat ki khajooron ke dher se ek khajoor utha kar apne munh mein daal li to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . Chhee chhee! Nikalo isay . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya tumhein maloom nahi ke hum log sadqa ka maal nahi khate .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1485
حدثنا عمر بن محمد بن الحسن الاسدي، حدثنا ابي، حدثنا إبراهيم بن طهمان، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يؤتى بالتمر عند صرام النخل فيجيء هذا بتمره وهذا من تمره حتى يصير عنده كوما من تمر، فجعل الحسن والحسين رضي الله عنهما يلعبان بذلك التمر فاخذ احدهما تمرة فجعلها في فيه، فنظر إليه رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخرجها من فيه، فقال: اما علمت ان آل محمد صلى الله عليه وسلم لا ياكلون الصدقة".
Hum se Umar bin Muhammad bin Hasan Asadi ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se mere baap ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya ‘ un se Muhammad bin Ziyad ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas torne ke waqt zakat ki khajoor layi jati , har shakhs apni zakat laata aur naubat yahan tak puhanchti ke khajoor ka ek dher lag jata . (Ek martaba) Hasan aur Husain razi Allahu anhuma aisi hi khajooron se khel rahe thay ke ek ne ek khajoor utha kar apne munh mein rakh li . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne joonhi dekha to in ke munh se woh khajoor nikaal li . Aur farmaya ke kya tumhein maloom nahi ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki aulaad zakat ka maal nahi kha sakti .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3072
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه: ان الحسن بن علي اخذ تمرة من تمر الصدقة فجعلها في فيه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم بالفارسية:" كخ كخ اما تعرف انا لا ناكل الصدقة".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Ziyad ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Hasan Bin Ali (Radi Allahu Anhuma) ne sadqa ki khajoor mein se (jo Bait-ul-Maal mein aayi thi) ek khajoor utha li aur apne munh ke qareeb le gaye. Lekin Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein Farsi zaban ka ye lafz keh kar rok diya ke "Kakh Kakh" kya tumhein maloom nahi ke hum sadqa nahi khaya karte hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1475
وقال: إن الشمس تدنو يوم القيامة حتى يبلغ العرق نصف الاذن فبينا هم كذلك استغاثوا بآدم، ثم بموسى، ثم بمحمد صلى الله عليه وسلم"، وزاد عبد الله بن صالح، حدثني الليث، حدثني ابن ابي جعفر، فيشفع ليقضى بين الخلق فيمشي حتى ياخذ بحلقة الباب، فيومئذ يبعثه الله مقاما محمودا يحمده اهل الجمع كلهم، وقال معلى، حدثنا وهيب، عن النعمان بن راشد، عن عبد الله بن مسلم اخي الزهري، عن حمزة، سمع ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم في المسالة.
Aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke din sooraj itna qareeb ho jaye ga ke paseena aadhe kaan tak puhanch jaye ga . Log isi haal mein apni mukhlisi ke liye Adam alaihis-salam se faryad kareinge . Phir Musa alaihis-salam se . Aur phir Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se . Abdullah ne apni riwayat mein yeh zyada-ti ki hai ke mujh se Layth ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Ibn Abi Jafar ne byaan kiya ‘ ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam shafa'at kareinge ke makhlooq ka faisla kiya jaye . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam barheinge aur Jannat ke darwaze ka halqa thaam leinge . Aur isi din Allah Ta'ala Aap ko ”maqam-e-mahmood“ ata farmaye ga . Jis ki tamam ahle mahshar tareef kareinge . Aur Mualla bin Asad ne kaha ke hum se Wuhaib ne Numan bin Rashid se byaan kiya ‘ un se Zuhri ke bhai Abdullah bin Muslim ne ‘ un se Hamzah bin Abdullah ne ‘ aur unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna ‘ unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se phir itni hi hadees byaan ki jo sawal ke baab mein hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة