الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب التحريض على الصدقة والشفاعة فيها:
Logon ko sadaqa ki targhib dilana aur us ke liye sifarish karna.
Hadith Number: 1433
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا عبدة، عن هشام، عن فاطمة، عن اسماء رضي الله عنها , قالت: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" لا توكي فيوكى عليك".
Hum se Sadqa bin Fadl ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Abdah ne Hisham se khabar di ’ unhein un ki biwi Fatimah bint Munzir ne aur un se Asma razi Allahu anha ne byaan kiya ke mujh se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke khairat ko mat rok warna tera rizq bhi rok diya jaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1434
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج. ح وحدثني محمد بن عبد الرحيم، عن حجاج بن محمد، عن ابن جريج , قال: اخبرني ابن ابي مليكة، عن عباد بن عبد الله بن الزبير اخبره، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، انها جاءت إلى النبي صلى الله عليه وسلم , فقال:" لا توعي فيوعي الله عليك، ارضخي ما استطعت".
Hum se Abu Asim (Abu Asim Dahhak) ne byaan kiya aur un se Ibn Juraij ne byaan kiya . (Doosri sanad) aur mujh se Muhammad bin Abdul Rahman ne byaan kiya ‘ un se Hajjaj bin Muhammad ne byaan kiya aur unhon ne kaha ke hum se Ibn Juraij ne byaan kiya ke mujhe Ibn Abi Malaikah ne khabar di ‘ unhein Abbad bin Abdullah bin Zubayr ne Asma bint Abi Bakr razi Allahu anhuma se khabar di ke woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke haan aayin . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (maal ko) theili mein band kar ke na rakhna warna Allah paak bhi tumhare liye apne khazane mein bandish laga de ga . Jahan tak ho sake logon mein khair khairat taqseem karti reh .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2590
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن ابن ابي مليكة، عن عباد بن عبد الله، عن اسماء رضي الله عنها، قالت: قلت: يا رسول الله، ما لي مال إلا ما ادخل علي الزبير، فاتصدق؟ قال:" تصدقي، ولا توعي فيوعى عليك".
Hum se Abu Asim Dahhak Bin Makhlad ne bayan kiya, un se Ibn Juraij ne, un se Ibn Abi Mulaika ne, un se Abbad Bin Abdullah ne aur un se Asma (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke mein ne arz kiya Ya Rasul Allah! mere paas sirf wahi mal hai jo (mere shohar) Zubair ne mere paas rakkha hua hai to kya mein is mein se sadqa kar sakti hoon? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Sadqa karo, jorr ke na rakkho, kahin tum se bhi. (Allah ki taraf se na) rok liya jaye."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2591
حدثنا عبيد الله بن سعيد، حدثنا عبد الله بن نمير، حدثنا هشام بن عروة، عن فاطمة، عن اسماء، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" انفقي، ولا تحصي فيحصي الله عليك، ولا توعي فيوعي الله عليك".
Hum se Ubaidullah Bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Bin Numair ne bayan kiya, kaha hum se Hisham Bin Urwah ne bayan kiya, un se Fatima Bint Munzir ne aur un se Asma Bint Abi Bakr (Radi Allahu Anha) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kharch kiya kar, gina na kar, taake tumhein bhi gin ke na mile aur jorr ke na rakkho, taake tum se bhi Allah Ta'ala (apni nimatou ko) na chhupa le."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3434
وقال ابن وهب: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، قال: حدثني سعيد بن المسيب ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" نساء قريش خير نساء ركبن الإبل احناه على طفل وارعاه على زوج في ذات يده" يقول ابو هريرة: على إثر ذلك ولم تركب مريم بنت عمران بعيرا قط، تابعه ابن اخي الزهري، وإسحاق الكلبي، عن الزهري.
Aur Ibn Wahb ne bayan kiya ke mujhe Yunus ne khabar di un se Ibn Shihab ne bayan kiya kaha ke mujh se Saeed Bin Musayyib ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ont par sawar hone waliyon (Arabi khawateen) mein sab se behtareen Quraishi khawateen hain. Apne bacche par sab se zyada muhabbat-o-shafqat karne wali aur apne shohar ke maal-o-asbab ki sab se behtar nigraan-o-muhafiz. Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ye hadees bayan karne ke baad kehte thay ke Maryam Bint-e-Imran ont par kabhi sawar nahi hui thien. Yunus ke sath is hadees ko Zuhri ke bhatije aur Ishaq Kalbi ne bhi Zuhri se riwayat kiya hai
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة