الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب ثناء الناس على الميت:
Logon ki zubaan par mayyit ki tareef ho to behtar hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1368
حدثنا عفان بن مسلم هو الصفار، حدثنا داود بن ابي الفرات، عن عبد الله بن بريدة، عن ابي الاسود , قال: قدمت المدينة وقد وقع بها مرض، فجلست إلى عمر بن الخطاب رضي الله عنه، فمرت بهم جنازة فاثني على صاحبها خيرا، فقال عمر رضي الله عنه: وجبت، ثم مر باخرى فاثني على صاحبها خيرا، فقال عمر رضي الله عنه: وجبت، ثم مر بالثالثة فاثني على صاحبها شرا، فقال: وجبت، فقال ابو الاسود: فقلت: وما وجبت يا امير المؤمنين، قال: قلت كما , قال النبي صلى الله عليه وسلم: ايما مسلم شهد له اربعة بخير ادخله الله الجنة، فقلنا: وثلاثة، قال: وثلاثة، فقلنا: واثنان، قال: واثنان، ثم لم نساله عن الواحد".
Hum se Affan bin Muslim Saffar ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Dawood bin Abil Furat ne ‘ un se Abdullah bin Buraydah ne ‘ un se Abul Aswad ad-Dili ne ke main Madina hazir hua . In dinon wahan ek bimari phel rahi thi . Main Umar bin Khattab razi Allahu anhu ki khidmat mein tha ke ek janaza saamne se guzra . Log is mayyat ki tareef karne lage to Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke wajib ho gayi phir ek aur janaza guzra , log is ki bhi tareef karne lage . Is martaba bhi Aap ne aisa hi farmaya ke wajib ho gayi . Phir teesra janaza nikla ‘ log is ki burayi karne lage ‘ aur is martaba bhi Aap ne yehi farmaya ke wajib ho gayi . Abul Aswad ad-Dili ne byaan kiya ke main ne poocha ke Amir-ul-Mumineen kya cheez wajib ho gayi ? Aap ne farmaya ke main ne is waqt wahi kaha jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke jis Musalman ki achhayi par chaar shakhs gawahi de dein Allah ise Jannat mein dakhil kare ga . Hum ne kaha aur agar teen gawahi dein ? Aap ne farmaya ke teen par bhi , phir hum ne poocha aur agar do Musalman gawahi dein ? Aap ne farmaya ke do par bhi . Phir hum ne yeh nahin poocha ke agar ek Musalman gawahi de to kya ?


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2643
حدثنا موسى بن إسماعيل حدثنا داود بن ابي الفرات، حدثنا عبد الله بن بريدة، عن ابي الاسود، قال: اتيت المدينة وقد وقع بها مرض وهم يموتون موتا ذريعا، فجلست إلى عمر رضي الله عنه، فمرت جنازة فاثني خيرا، فقال عمر: وجبت، ثم مر باخرى فاثني خير، فقال: وجبت، ثم مر بالثالثة فاثني شرا، فقال: وجبت، فقلت: وما وجبت: اتيت المدينة، قال: قلت كما قال النبي صلى الله عليه وسلم" ايما مسلم شهد له اربعة بخير ادخله الله الجنة، قلنا: وثلاثة، قال: وثلاثة، قلت: واثنان، قال: واثنان، ثم لم نساله عن الواحد".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Dawood Bin Abi Furat ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Bin Buraida ne bayan kiya Abi Al-Aswad se ke mein Madinah aaya to yahan waba phaili hui thi, log bari teizi se mar rahe thay. Mein Umar (Radi Allahu Anhu) ki khidmat mein tha ke ek janaza guzra. Logon ne is mayyat ki tareef ki to Umar (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke wajib ho gayi. Phir doosra guzar logon ne is ki bhi tareef ki Umar (Radi Allahu Anhu) ne kaha wajib ho gayi. Phir teesra guzra to logon ne is ki burayi ki, Umar (Radi Allahu Anhu) ne is ke liye yahi kaha ke wajib ho gayi. Mein ne poocha Ameer-ul-Momineen! kya wajib ho gayi. Unhon ne kaha ke mein ne isi tarah kaha hai jis tarah Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke jis Musalman ke liye char aadmi acchayi ki gawahi de dein ise Allah Ta'ala jannat mein dakhil karta hai. Hum ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha aur agar teen dein? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke teen par bhi. Hum ne poocha aur agar do aadmi gawahi dein? Farmaya do par bhi. Phir hum ne ek ke mutalliq Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se nahi poocha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة