الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب ما جاء فى قاتل النفس:
Jo shakhs khudkushi kare us ki saza ke bayaan mein.
Hadith Number: 1365
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الذي يخنق نفسه يخنقها في النار، والذي يطعنها يطعنها في النار".
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Shuayb ne khabar di ‘ kaha ke hum ko Abuz Zinad ne khabar di ‘ un se Aaraj ne ‘ un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs khud apna gala ghoont kar jaan de daalta hai woh Jahannam mein bhi apna gala ghoont-ta rahe ga aur jo barchhay ya teer se apne tayein (aap ko) maare woh Dozakh mein bhi is tarah apne (aap ko) tayein maarta rahe ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5778
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا خالد بن الحارث، حدثنا شعبة، عن سليمان، قال: سمعت ذكوان يحدث، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من تردى من جبل فقتل نفسه فهو في نار جهنم، يتردى فيه خالدا مخلدا فيها ابدا، ومن تحسى سما فقتل نفسه فسمه في يده يتحساه في نار جهنم خالدا مخلدا فيها ابدا، ومن قتل نفسه بحديدة فحديدته في يده يجا بها في بطنه في نار جهنم خالدا مخلدا فيها ابدا".
Hum se Abdullah bin Abd-ul-Wahhab ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Khalid bin Haris ne bayan kiya, in se Shubah ne bayan kiya, in se Sulayman ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne Zhakwan se suna, woh Abu Hurairah razi Allahu anhu se yeh hadees bayan karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne pahar se apne Aap ko gira kar khud-kushi kar li woh jahannum ki aag mein ho ga aur is mein hamesha para rahe ga aur jis ne zehar pee kar khud-kushi kar li woh zehar is ke saath mein ho ga aur jahannum ki aag mein woh usay isi tarah hamesha peeta rahe ga aur jis ne lohe ke kisi hathiyar se khud-kushi kar li to is ka hathiyar is ke saath mein ho ga aur jahannum ki aag mein hamesha ke liye woh usay apne pait mein maarta rahe ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة