الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب الكفن فى القميص الذى يكف أو لا يكف، ومن كفن بغير قميص:
Bab: Qamees mein kafan dena aur us ka hashiya sila hua ho ya baghair silay hua ho aur baghair qamees ke kafan dena.
Show diacritics
Hadith Number: 1269
حدثنا مسدد , قال: حدثنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله , قال: حدثني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان عبد الله بن ابي لما توفي جاء ابنه إلى النبي صلى الله عليه وسلم , فقال:" يا رسول الله اعطني قميصك اكفنه فيه وصل عليه واستغفر له، فاعطاه النبي صلى الله عليه وسلم قميصه , فقال: آذني اصلي عليه فآذنه، فلما اراد ان يصلي عليه جذبه عمر رضي الله عنه , فقال: اليس الله نهاك ان تصلي على المنافقين، فقال: انا بين خيرتين، قال الله تعالى: استغفر لهم او لا تستغفر لهم إن تستغفر لهم سبعين مرة فلن يغفر الله لهم سورة التوبة آية 80 , فصلى عليه , فنزلت: ولا تصل على احد منهم مات ابدا سورة التوبة آية 84".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Ubaydullah Umari ne kaha ke mujh se Nafi ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se byaan kiya ke jab Abdullah bin Ubayy (munafiq) ki maut hui to is ka beta (Abdullah sahabi) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein aaya aur arz ki ke ya Rasool Allah! waalid ke kafan ke liye Aap apni qamees inayat farmaiye aur un par namaaz parhiye aur maghfirat ki dua kijiye . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apni qamees (ghayat-e-muruwat ki wajah se) inayat ki aur farmaya ke mujhe batana main namaaz-e-janaza parhoon ga . Abdullah ne itla bhijwayi . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam namaaz parhane ke liye aage barhay to Umar razi Allahu anhu ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ko peeche se pakar liya aur arz kiya ke kya Allah Ta'ala ne Aap ko munafiqeen ki namaaz-e-janaza parhne se mana nahin kiya hai ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe ikhtiyar diya gaya hai jaisa ke irshad-e-Baari hai ”to un ke liye istighfar kar ya na kar aur agar tu sattar martaba bhi istighfar kare to bhi Allah unhein hargiz maaf nahin kare ga“ chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne namaaz parhayi . Is ke baad yeh aayat utri ”kisi bhi munafiq ki maut par is ki namaaz-e-janaza kabhi na parhana“ .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1366
حدثنا يحيى بن بكير، حدثني الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس، عن عمر بن الخطاب رضي الله عنهم، انه قال:" لما مات عبد الله بن ابي ابن سلول دعي له رسول الله صلى الله عليه وسلم ليصلي عليه، فلما قام رسول الله صلى الله عليه وسلم وثبت إليه , فقلت: يا رسول الله، اتصلي على ابن ابي وقد؟ , قال: يوم كذا وكذا كذا وكذا اعدد عليه قوله، فتبسم رسول الله صلى الله عليه وسلم وقال: اخر عني يا عمر، فلما اكثرت عليه قال: إني خيرت فاخترت لو اعلم اني إن زدت على السبعين فغفر له لزدت عليها , قال: فصلى عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم , ثم انصرف، فلم يمكث إلا يسيرا حتى نزلت الآيتان من براءة ولا تصل على احد منهم مات إلى قوله وهم فاسقون سورة التوبة آية 84 , قال: فعجبت بعد من جراتي على رسول الله صلى الله عليه وسلم يومئذ , والله ورسوله اعلم".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha ke hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Aqeel ne , un se Ibn Shihab ne , un se Ubaydullah bin Abdullah ne , un se Ibn Abbas ne aur un se Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne farmaya ke jab Abdullah bin Ubayy ibn Salul mara to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is par namaaz-e-janaza ke liye kaha gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab is irade se kharay huay to main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ki taraf barh kar arz kiya ya Rasool Allah! Aap Ibn Ubayy ki namaaz-e-janaza parhate hain halanke us ne falan din falan baat kahi thi aur falan din falan baat . Main is ki kufr ki baatein ginne laga . Lekin Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam yeh sun kar muskura diye aur farmaya Umar! is waqt peeche hat jao . Lekin jab main baar baar apni baat dohrata raha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe farmaya ke mujhe Allah ki taraf se ikhtiyar de diya gaya hai ‘ main ne namaaz parhani pasand ki agar mujhe maloom ho jaye ke sattar martaba se zyada martaba is ke liye maghfirat maangne par ise maghfirat mil jaye gi to is ke liye itni hi zyada maghfirat mangoon ga . Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ki namaaz-e-janaza parhayi aur wapas hone ke thori der baad Aap salla Allahu alaihi wasallam par Surah Bara'at ki do aayatein nazil huin . ”Kisi bhi munafiq ki maut par is ki namaaz-e-janaza Aap hargiz na parhaiye .“ aayat «wa hum fasiqoon» tak aur is ki qabr par bhi mat kharay hon ‘ in logon ne Allah aur us ke Rasool ki baatoon ko nahin maana aur mare bhi to nafarman reh kar . Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke mujhe Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke huzoor apni isi din ki dalayri par taajub hota hai . Halanke Allah aur us ke Rasool (har maslahat ko) zyada jaante hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4671
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، قال غيره: حدثني الليث، حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس، عن عمر بن الخطاب رضي الله عنه، انه قال: لما مات عبد الله بن ابي ابن سلول، دعي له رسول الله صلى الله عليه وسلم ليصلي عليه، فلما قام رسول الله صلى الله عليه وسلم وثبت إليه، فقلت: يا رسول الله، اتصلي على ابن ابي، وقد قال: يوم كذا، كذا، وكذا، قال: اعدد عليه قوله، فتبسم رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقال اخر: عني يا عمر، فلما اكثرت عليه، قال:" إني خيرت فاخترت، لو اعلم اني إن زدت على السبعين يغفر له لزدت عليها"، قال: فصلى عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم ثم انصرف، فلم يمكث إلا يسيرا حتى نزلت الآيتان من براءة ولا تصل على احد منهم مات ابدا إلى قوله وهم فاسقون سورة التوبة آية 84، قال: فعجبت بعد من جراتي على رسول الله صلى الله عليه وسلم والله ورسوله اعلم.
Mujh se Ibrahim bin al-Munzhir ne byaan kiya , kaha ke hum se Anas bin Ayadh ne , un se Ubaydullah ne aur un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab Abdullah bin Ubayy ka intiqal hua to is ke bete Abdullah bin Abdullah bin Ubayy Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein aaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein apna kurta inayat farmaya aur farmaya ke is karte se usay kafan diya jaye phir Aap is par namaz parhane ke liye kharay huay to Umar razi Allahu anhu ne Aap ka daman pakar liya aur arz kiya Aap is par namaz parhane ke liye tayyar ho gaye haalan ke yeh munafiq hai , Allah Ta'ala bhi Aap ko un ke liye istighfar se mana kar chuka hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne mujhe ikhtiyar diya hai . Ya rawi ne «khayyarani» ki jagah lafz «akhbarani» naqal kiya hai . Allah Ta'ala ka irshad hai «istaghfir lahum au la tastaghfir lahum in tastaghfir lahum sabeena marratun falan yaghfirallahu lahum» ke ”Aap un ke liye istighfar karein khwah na karein . Agar Aap un ke liye sattar baar bhi istighfar karein ge jab bhi Allah unhein nahi bakhshe ga .“ Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main sattar martaba se bhi zyada istighfar karoon ga . Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is par namaz parhi aur hum ne bhi un ke saath parhi . Is ke baad Allah Ta'ala ne yeh aayat utari «wa la tusalli ala ahadin minhum maata abadan wa la taqum ala qabrihi innahum kafaroo billahi wa rasoolihi wa maatu wa hum fasiqoona» ke ”aur in mein se jo koi mar jaye , Aap is par kabhi bhi janaza na parhein aur na is ki qabr par kharay hon . Beshak unhon ne Allah aur us ke Rasool ke saath kufr kiya hai aur woh is haal mein maarey hain ke woh nafarman thay .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4672
حدثني إبراهيم بن المنذر، حدثنا انس بن عياض، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، انه قال: لما توفي عبد الله بن ابي، جاء ابنه عبد الله بن عبد الله إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاعطاه قميصه، وامره ان يكفنه فيه، ثم قام يصلي عليه، فاخذ عمر بن الخطاب بثوبه، فقال: تصلي عليه وهو منافق وقد نهاك الله ان تستغفر لهم، قال:" إنما خيرني الله، او اخبرني الله، فقال: استغفر لهم او لا تستغفر لهم إن تستغفر لهم سبعين مرة فلن يغفر الله لهم سورة التوبة آية 80، فقال: سازيده على سبعين"، قال: فصلى عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم وصلينا معه، ثم انزل الله عليه، ولا تصل على احد منهم مات ابدا ولا تقم على قبره إنهم كفروا بالله ورسوله وماتوا وهم فاسقون سورة التوبة آية 84.
Hum se Yahya bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Aqeel ne , un se Ibn Shihab ne , un se Abdur Rahman bin Abdullah ne aur un se Abdullah bin Kabb bin Malik ne byaan kiya ke unhon ne Kabb bin Malik razi Allahu anhu se un ke Ghazwa Tabook mein shareek na ho sakne ka waqia suna . Unhon ne batlaya , Allah ki qasam! Hidayat ke baad Allah ne mujh par itna bara aur koi inam nahi kiya jitna Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke samne sach bolne ke baad zahir hua tha ke us ne mujhe jhoot bolne se bachaya , warna main bhi isi tarah halak ho jata jis tarah doosre log jhooti mazratein byaan karne wale halak huay thay aur Allah Ta'ala ne un ke baare mein wahi nazil ki thi «sa-yahlifoona billahi lakum izha-nqalabtum ilayhim» ke ”anqareeb yeh log tumhare samne , jab tum un ke paas wapas jao ge . Allah ki qasam kha jayein ge .“ Aakhir aayat «al-fasiqeena» tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5796
حدثنا صدقة، اخبرنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، قال: اخبرني نافع، عن عبد الله، قال: لما توفي عبد الله بن ابي جاء ابنه إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" يا رسول الله اعطني قميصك اكفنه فيه، وصل عليه، واستغفر له، فاعطاه قميصه، وقال: إذا فرغت منه فآذنا، فلما فرغ آذنه به، فجاء ليصلي عليه، فجذبه عمر، فقال: اليس قد نهاك الله ان تصلي على المنافقين، فقال: استغفر لهم او لا تستغفر لهم إن تستغفر لهم سبعين مرة فلن يغفر الله لهم سورة التوبة آية 80 فنزلت ولا تصل على احد منهم مات ابدا ولا تقم على قبره سورة التوبة آية 84 فترك الصلاة عليهم".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne bayan kiya , kaha hum ko Yahya bin Saeed ne khabar di , in se Ubaidullah ne bayan kiya , kaha mujh se Nafi ne khabar di , in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke jab Abdullah bin Ubayy ki wafat hui to is ke larke (Abdullah) jo mukhlish aur akabir sahabah mein thay Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam! ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Apni qamees mujhe ata farmaye taake main apne baap ko is ka kafan doon aur Aap in ki namaz e janaza parha dein aur in ke liye dua e maghfirat karein chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apni qamees unhein ata farmayi aur farmaya ke nahla dhula kar mujhe ittila dena . Chunanche jab nahla dhula liya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko ittila di Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye taake is ki namaz e janaza parhayein lekin Umar razi Allahu anhu ne Aap ko pakar liya aur arz kiya: ya Rasool Allah! Kya Allah Ta'ala ne Aap ko munafiqeen par namaz e janaza parhne se mana nahi farmaya hai ? Aur farmaya hai «istagh-fir lahum au la tastagh-fir lahum in tastagh-fir lahum sabeena marratan falan yagh-fir-allahu lahum» ke ”in ke liye maghfirat ki dua karo ya maghfirat ki dua na karo agar tum sattar martaba bhi in ke liye maghfirat ki dua karo ge tab bhi Allah unhein hargiz nahi bakhshe ga .“ Phir yeh aayat nazil hui «wala tusalli ala ahadim-minhum maata abadan» ke ”aur in mein se kisi par bhi jo mar gaya ho hargiz namaz na parhiye .“ Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ki namaz e janaza parhni chhorr di .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4670
حدثني عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: لما توفي عبد الله بن ابي، جاء ابنه عبد الله بن عبد الله إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فساله ان يعطيه قميصه يكفن فيه اباه، فاعطاه، ثم ساله ان يصلي عليه، فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم ليصلي عليه، فقام عمر، فاخذ بثوب رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، تصلي عليه وقد نهاك ربك ان تصلي عليه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنما خيرني الله، فقال: استغفر لهم او لا تستغفر لهم إن تستغفر لهم سبعين مرة سورة التوبة آية 80، وسازيده على السبعين"، قال: إنه منافق، قال: فصلى عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم، فانزل الله ولا تصل على احد منهم مات ابدا ولا تقم على قبره سورة التوبة آية 84.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Aqeel ne aur un ke alawa (Abu Salih Abdullah bin Salih) ne byaan kiya , ke mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , unhein Ubaydullah bin Abdullah ne khabar di aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne , un se Umar razi Allahu anhu ne jab Abdullah bin Ubayy bin Salool ki maut hui to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ki namaz e janaza parhane ke liye kaha gaya . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam namaz parhane ke liye kharay huay to main jaldi se khidmat e Nabwi mein pahuncha aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Aap Ibn Ubayy (munafiq) ki namaz e janaza parhane lage haalan ke us ne falan falan din is is tarah ki baatein (Islam ke khilaf) ki thien ? Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main is ki kahi hui baatein ek ek kar ke pesh karne laga . Lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne tabassum kar ke farmaya ke Umar! Mere paas se hat jao (aur saff mein ja ke kharay ho jao) . Main ne israr kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe ikhtiyar diya gaya hai . Is liye main ne (is ke liye istighfar karne aur is ki namaz e janaza parhane hi ko) pasand kiya , agar mujhe yeh maloom ho jaye ke sattar martaba se zyada istighfar karne se is ki maghfirat ho jaye gi to main sattar martaba se zyada istighfar karoon ga . Byaan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne namaz parhayi aur wapas tashreef laye , thori der abhi hui thi ke Surah Baraat ki do aayatein nazil huien «wa la tusalli ala ahadin minhum maata abadan» ke ”in mein se jo koi mar jaye is par kabhi bhi namaz na parh-ye .“ Aakhir aayat «wa hum fasiqoona» tak . Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke baad mein mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne apni is darja jurat par khud bhi hairat hui aur Allah aur us ke Rasool behtar janne wale hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة