الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب يجعل الكافور فى آخره:
Bab: Mayyit ke ghusl mein kafur ka istimal aakhir mein ek baar kiya jaye.
Show diacritics
Hadith Number: 1258
حدثنا حامد بن عمر، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، عن ام عطية , قالت:" توفيت إحدى بنات النبي صلى الله عليه وسلم فخرج النبي صلى الله عليه وسلم , فقال:" اغسلنها ثلاثا , او خمسا او اكثر من ذلك إن رايتن بماء , وسدر واجعلن في الآخرة كافورا او شيئا من كافور، فإذا فرغتن فآذنني، قالت: فلما فرغنا آذناه فالقى إلينا حقوه فقال: اشعرنها إياه"، وعن ايوب، عن حفصة، عن ام عطية رضي الله عنهما , بنحوه.
Hum se Hamid bin Amr ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub ne , un se Muhammad ne aur un se Umm Atiya razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ek beti ka intiqal ho gaya tha . Is liye Aap salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laaye aur farmaya ke ise teen ya paanch martaba ghusl de do aur agar tum munasib samjho to is se bhi zyada paani aur beri ke patton se nehlao aur aakhir mein kafoor ya (yeh kaha ke) kuch kafoor ka bhi istemal karna . Phir farigh ho kar mujhe khabar dena . Umm Atiya razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab hum farigh huay to hum ne kehla bhijwaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apna tehband humein diya aur farmaya ke ise andar jism par lapait do . Ayub ne Hafsa bint Sirin se riwayat ki , un se Umm Atiya ne isi tarah hadees byaan ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 167
حدثنا مسدد، قال: حدثنا إسماعيل، قال: حدثنا خالد، عن حفصة بنت سيرين، عن ام عطية، قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم لهن في غسل ابنته:" ابدان بميامنها ومواضع الوضوء منها".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, un se Ismail ne, un se Khalid ne Hafsa bint-e-Sireen ke waaste se naql kiya, woh Umm-e-Atiyyah se riwayat karti hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni (marhooma) sahebzaadi (Zainab Radhiallahu Anha) ko ghusl dene ke waqt farmaaya tha ke ghusl daahni taraf se do, aur aazaa-e-Wuzu se ghusl ki ibtida karo.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة