الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابُ يَجْعَلُ الْكَافُورَ فِي آخِرِهِ:
Chapter. To Sprinkle camphor on the dead body as the last thing (before shrouding).
Hadith Number: 1258
حدثنا حامد بن عمر، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، عن ام عطية , قالت:" توفيت إحدى بنات النبي صلى الله عليه وسلم فخرج النبي صلى الله عليه وسلم , فقال:" اغسلنها ثلاثا , او خمسا او اكثر من ذلك إن رايتن بماء , وسدر واجعلن في الآخرة كافورا او شيئا من كافور، فإذا فرغتن فآذنني، قالت: فلما فرغنا آذناه فالقى إلينا حقوه فقال: اشعرنها إياه"، وعن ايوب، عن حفصة، عن ام عطية رضي الله عنهما , بنحوه.
Hum se Hamid bin Amr ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub ne , un se Muhammad ne aur un se Umm Atiya razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ek beti ka intiqal ho gaya tha . Is liye Aap salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laaye aur farmaya ke ise teen ya paanch martaba ghusl de do aur agar tum munasib samjho to is se bhi zyada paani aur beri ke patton se nehlao aur aakhir mein kafoor ya (yeh kaha ke) kuch kafoor ka bhi istemal karna . Phir farigh ho kar mujhe khabar dena . Umm Atiya razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab hum farigh huay to hum ne kehla bhijwaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apna tehband humein diya aur farmaya ke ise andar jism par lapait do . Ayub ne Hafsa bint Sirin se riwayat ki , un se Umm Atiya ne isi tarah hadees byaan ki .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1259
وقالت: إنه قال: اغسلنها ثلاثا , او خمسا , او سبعا , او اكثر من ذلك إن رايتن، قالت حفصة: قالت ام عطية رضي الله عنها: وجعلنا راسها ثلاثة قرون.
Aur Umm Atiya razi Allahu anha ne is riwayat mein yoon kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke teen ya paanch ya saat martaba ya agar tum munasib samjho to is se bhi zyada ghusl de sakti ho . Hafsa razi Allahu anha ne byaan kiya ke Umm Atiya razi Allahu anha ne farmaya ke hum ne un ke sar ke baal teen latton mein taqseem kar diye thay .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة