الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستسقاء
Kitab: Istisqa yani pani mangne ka bayan
باب إذا هبت الريح:
Bab: Jab hawa chalti.
Hadith Number: 1034
حدثنا سعيد بن ابي مريم، قال: اخبرنا محمد بن جعفر، قال: اخبرني حميد، انه سمع انسا، يقول:" كانت الريح الشديدة إذا هبت عرف ذلك في وجه النبي صلى الله عليه وسلم".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Muhammad bin Jafar ne khabar di , unhon ne kaha mujhe Humaid Taweel ne khabar di aur unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke jab taiz hawa chalti to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehra mubarak par darr mehsoos hota tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1032
حدثنا محمد هو ابن مقاتل ابو الحسن المروزي، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا عبيد الله، عن نافع، عن القاسم بن محمد، عن عائشة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا راى المطر، قال: اللهم صيبا نافعا"، تابعه القاسم بن يحيى، عن عبيد الله، وعقيل، ورواه الاوزاعي عن نافع.
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha ke hamein Ubaidullah Umri ne Nafi se khabar di , unhein Qasim bin Muhammad ne , unhein Aisha razi Allahu anha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jab barish hoti dekhte to yeh dua karte «Sayyiban naafi'an» ay Allah! nafa bakhshne wali barish barsa . Is riwayat ki mutabi'at Qasim bin Yahya ne Ubaidullah Umri se ki hai aur is ki riwayat Awzai aur Aqeel ne Nafi se ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3206
حدثنا مكي بن إبراهيم، حدثنا ابن جريج، عن عطاء، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: كان النبي صلى الله عليه وسلم" إذا راى مخيلة في السماء اقبل وادبر ودخل وخرج وتغير وجهه، فإذا امطرت السماء سري عنه فعرفته عائشة ذلك، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" ما ادري لعله كما قال قوم فلما راوه عارضا مستقبل اوديتهم سورة الاحقاف آية 24 الآية.
Hum se Makki Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Juraij ne, un se Ata ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke jab Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) abr ka koi aisa tukda dekhte jis se barish ki umeed hoti to aap kabhi aage aate, kabhi peechhe jate, kabhi ghar ke andar tashreef late, kabhi bahar aa jate aur chehra-e-mubarak ka rang badal jata. Lekin jab barish hone lagti to phir ye kaifiyat baqi na rehti. Ek martaba Aisha (Radi Allahu Anha) ne is ke mutaliq Aap se pucha. To Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya. Mein nahi janta mumkin hai ye badal bhi waisa hi ho jis ke bare mein qaum-e-Aad ne kaha tha, jab unhon ne badal ko apni wadiyon ki taraf aate dekha tha. Akheer ayat tak (ke un ke liye rehmat ka badal aaya hai, halanke wo azab ka badal tha)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4829
قالت: وكان إذا راى غيما او ريحا عرف في وجهه، قالت: يا رسول الله، إن الناس إذا راوا الغيم، فرحوا رجاء ان يكون فيه المطر واراك إذا رايته عرف في وجهك الكراهية، فقال:" يا عائشة، ما يؤمني ان يكون فيه عذاب عذب قوم بالريح وقد راى قوم العذاب، فقالوا: هذا عارض ممطرنا".
Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se arz kiya ke ya Rasool Allah! Jab log baadal dekhte hain to khush hote hain ke is se barish barse gi lekin is ke bar-khilaf Aap ko main dekhti hoon ke Aap baadal dekhte hain to nagowari ka asar Aap ke chehre par numayan ho jata hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: Ae Aisha! Kya dhamanat hai ke is mein azab na ho . Ek qaum (Aad) par hawa ka azab aaya tha . Unhon ne jab azab dekha to bolay ke yeh to baadal hai jo hum par barse ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة