الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب المكث بين السجدتين:
Bab: Dono sajdon ke beech mein thehrna.
Hadith Number: 818
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي قلابة ان مالك بن الحويرث قال لاصحابه: الا انبئكم صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" وذاك في غير حين صلاة، فقام ثم ركع فكبر، ثم رفع راسه فقام هنية، ثم سجد، ثم رفع راسه هنية فصلى صلاة عمرو بن سلمة شيخنا هذا، قال ايوب: كان يفعل شيئا لم ارهم يفعلونه، كان يقعد في الثالثة والرابعة.
Hum se Abun Numan Muhammad bin Fadl ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne Ayyub Sakhtiyani se byaan kiya , unhon ne Abu Qilabah Abdullah bin Zaid se , ke Malik bin Huwayrith razi Allahu anhu ne apne saathiyon se kaha ke main tumhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz kyun na sikha doon . Abu Qilabah ne kaha yeh namaaz ka waqt nahi tha (magar Aap hamein sikhane ke liye) kharay huay . Phir ruku kiya aur takbeer kahi phir sar uthaya aur thori der kharay rahe . Phir sajda kiya aur thori der ke liye sajde se sar uthaya aur phir sajda kiya aur sajde se thori der ke liye sar uthaya . Unhon ne hamare Shaykh Amr bin Salamah ki tarah namaaz parhi Ayyub Sakhtiyani ne kaha ke woh Amr bin Salamah namaaz mein ek aisi cheez kiya karte thay ke doosre logon ko is tarah karte main ne nahi dekha . Aap teesri ya chothi rakat par (sajde se farigh ho kar kharay hone se pehle) baithte thay . (yani jalsa istirahat karte thay) .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| مالك بن الحويرث الليثي، أبو سليمان | صحابي | |
| عبد الله بن زيد الجرمي، أبو كلابة، أبو قلابة | ثقة | |
| أيوب السختياني، أبو عثمان، أبو بكر | ثقة ثبتت حجة | |
| حماد بن زيد الأزدي، أبو إسماعيل | ثقة ثبت فقيه إمام كبير مشهور | |
| محمد بن الفضل السدوسي، أبو النعمان | ثقة ثبت تغير في آخر عمره |