الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العلم
Kitab: Ilm ke bayan mein
باب الخروج فى طلب العلم:
Bab: Ilm ki talash mein nikalne ke bare mein.
Show diacritics
Hadith Number: Q78
ورحل جابر بن عبد الله مسيرة شهر إلى عبد الله بن انيس في حديث واحد.
Jabir bin Abdullah ka ek Hadees ki khaatir Abdullah bin Onais ke paas jaane ke liye ek maah ki masaafat tay karna.


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 78
حدثنا ابو القاسم خالد بن خلي قاضي حمص، قال: حدثنا محمد بن حرب، قال: قال الاوزاعي، اخبرنا الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، عن ابن عباس، انه تمارى هو والحر بن قيس بن حصن الفزاري في صاحب موسى، فمر بهما ابي بن كعب، فدعاه ابن عباس، فقال: إني تماريت انا وصاحبي هذا في صاحب موسى الذي سال السبيل إلى لقيه، هل سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يذكر شانه؟ فقال ابي: نعم، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يذكر شانه، يقول:" بينما موسى في ملإ من بني إسرائيل إذ جاءه رجل، فقال: اتعلم احدا اعلم منك، قال موسى: لا، فاوحى الله عز وجل إلى موسى: بلى عبدنا خضر، فسال السبيل إلى لقيه، فجعل الله له الحوت آية، وقيل له: إذا فقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه، فكان موسى صلى الله عليه يتبع اثر الحوت في البحر، فقال فتى موسى لموسى: ارايت إذ اوينا إلى الصخرة، فإني نسيت الحوت وما انسانيه إلا الشيطان ان اذكره، قال موسى: ذلك ما كنا نبغي، فارتدا على آثارهما قصصا فوجدا خضرا، فكان من شانهما ما قص الله في كتابه".
Hum se Abul Qasim Khalid bin Khali Qaazi Hims ne bayan kiya, un se Muhammed bin Harb ne, Awzaa’ee kehte hain ke hamein Zohri ne Ubaidullah Ibn-e-Abdullah bin ’Utbah bin Mas’ood se khabar di, woh Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke woh aur Hurr bin Qais bin Hisn Fazaari Musa Alaihissalam ke saathi ke baare mein jhagde. (Us dauraan mein) un ke paas se Ubai bin Ka’b guzre, to Ibne-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ne unhein bula liya aur kaha ke main aur mere (yeh) saathi Musa Alaihissalam ke saathi ke baare mein behas kar rahe hain jis se milne ki Musa Alaihissalam ne (Allah se) dua ki thi. Kya aap ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko kuch un ka zikr farmaate huwe suna hai? Ubai ne kaha ke haan! Main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko un ka haal bayan farmaate huwe suna hai. Aap farmaa rahe the ke ek baar Musa Alaihissalam Bani Israel ki ek jama’at mein the ke itne mein ek shakhs aaya aur kehne laga kya aap jaante hain ke duniya mein aap se bhi badh kar koi aalim maujood hai. Musa Alaihissalam ne farmaaya ke nahi. Tab Allah Ta’ala ne Musa Alaihissalam par Wahi naazil ki ke haan hamaara bandah Khazir (ilm mein tum se badh kar) hai. To Musa Alaihissalam ne un se milne ki raah daryaaft ki, us waqt Allah Ta’ala ne (un se mulaqaat ke liye) machli ko nishaani qaraar diya aur un se keh diya ke jab tum machli ko na paao to laut jaana, tab tum Khazir Alaihissalam se mulaqaat kar loge. Musa Alaihissalam darya mein machli ke nishaan ka intezaar karte rahe. Tab un ke khaadim ne un se kaha. Kya aap ne dekha tha ke jab hum paththar ke paas the, to main (wahaan) machli bhool gaya. Aur mujhe shaitaan hi ne ghaafil kar diya. Musa Alaihissalam ne kaha ke hum usi (maqam) ke to mutalaashi the, tab woh apne (qadmon ke) nishaano par baatein karte huwe waapas laute. (Wahaan) Khazir Alaihissalam ko unhon ne paaya. Phir un ka qissa wahi hai jo Allah Ta’ala ne apni kitaab mein bayan farmaaya hai.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
عبيد الله بن عبد الله الهذلي، أبو عبد اللهثقة فقيه ثبت
محمد بن شهاب الزهري، أبو بكرالفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه
عبد الرحمن بن عمرو الأوزاعي، أبو عمروثقة مأمون
محمد بن حرب الخولاني، أبو عبد اللهثقة
خالد بن خلي الكلاعي، أبو القاسمصدوق حسن الحديث
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
78
بينما موسى في ملإ من بني إسرائيل إذ جاءه رجل فقال أتعلم أحدا أعلم منك قال موسى لا فأوحى الله إلى موسى بلى عبدنا خضر فسأل السبيل إلى لقيه فجعل الله له الحوت آية وقيل له إذا فقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه فكان موسى صلى الله عليه يتبع أثر الحوت في البحر
صحيح البخاري
74
بينما موسى في ملإ من بني إسرائيل جاءه رجل فقال هل تعلم أحدا أعلم منك قال موسى لا فأوحى الله إلى موسى بلى عبدنا خضر فسأل موسى السبيل إليه فجعل الله له الحوت آية وقيل له إذا فقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه وكان يتبع أثر الحوت في البحر فقال لموسى فتاه أرأيت إذ
مسندالحميدي
375
إن لي عبدا بمجمع البحرين هو أعلم منك