الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب وجوب القراءة للإمام والمأموم فى الصلوات كلها فى الحضر والسفر وما يجهر فيها وما يخافت:
Bab: Imam aur muqtadi ke liye qira’at ka wajib hona, hazar aur safar har haalat mein, siri aur jahri sab namazon mein.
Show diacritics
Hadith Number: 755
حدثنا موسى، قال: حدثنا ابو عوانة، قال: حدثنا عبد الملك بن عمير، عن جابر بن سمرة، قال:" شكا اهل الكوفة سعدا إلى عمر رضي الله عنه، فعزله واستعمل عليهم عمارا فشكوا حتى ذكروا انه لا يحسن يصلي، فارسل إليه، فقال: يا ابا إسحاق، إن هؤلاء يزعمون انك لا تحسن تصلي، قال ابو إسحاق: اما انا والله فإني كنت اصلي بهم صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم ما اخرم عنها اصلي صلاة العشاء فاركد في الاوليين واخف في الاخريين، قال: ذاك الظن بك يا ابا إسحاق، فارسل معه رجلا او رجالا إلى الكوفة فسال عنه اهل الكوفة ولم يدع مسجدا إلا سال عنه ويثنون معروفا، حتى دخل مسجدا لبني عبس فقام رجل منهم يقال له اسامة بن قتادة يكنى ابا سعدة قال: اما إذ نشدتنا فإن سعدا كان لا يسير بالسرية ولا يقسم بالسوية ولا يعدل في القضية، قال سعد: اما والله لادعون بثلاث، اللهم إن كان عبدك هذا كاذبا قام رياء وسمعة فاطل عمره واطل فقره وعرضه بالفتن، وكان بعد إذا سئل يقول شيخ كبير مفتون اصابتني دعوة سعد، قال عبد الملك: فانا رايته بعد قد سقط حاجباه على عينيه من الكبر، وإنه ليتعرض للجواري في الطرق يغمزهن".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Awanah Waddah Yashkuri ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Malik bin Umayr ne Jabir bin Samurah razi Allahu anhu se byaan kiya , kaha ke ahl Kufa ne Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ki Umar Farooq razi Allahu anhu se shikayat ki . Is liye Umar razi Allahu anhu ne un ko mazool kar ke Ammar razi Allahu anhu ko Kufa ka haakim banaya , to Kufa walon ne Saad ke mutalliq yahan tak keh diya ke woh to achhi tarah namaaz bhi nahi parha sakte . Chunanchay Umar razi Allahu anhu ne un ko bula bheja . Aap ne un se poocha ke aye Abu Ishaq! un Kufa walon ka khayal hai ke tum achhi tarah namaaz nahi parha sakte ho . Is par Aap ne jawab diya ke Allah ki qasam! main to unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hi ki tarah namaaz parhata tha , is mein kotahi nahi karta Isha ki namaaz parhata to us ki do pehli rakaton mein (qiraat) lambi karta aur doosri do rakatein halki parhata . Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke aye Abu Ishaq! mujh ko tum se umeed bhi yahi thi . Phir Aap ne Saad razi Allahu anhu ke saath ek ya kayi aadmiyon ko Kufa bheja . Qasid ne har har masjid mein ja kar un ke mutalliq poocha . Sab ne Aap ki tareef ki lekin jab masjid Bani Abs mein gaye . To ek shakhs jis ka naam Usamah bin Qatadah aur kuniyat Abu Saadah thi khara hua . Us ne kaha ke jab Aap ne Allah ka wasta de kar poocha hai to (suniye ke) Saad na fauj ke saath khud jihad karte thay , na maal ghaneemat ki taqseem sahi karte thay aur na faisle mein adl o insaaf karte thay . Saad razi Allahu anhu ne (yeh sun kar) farmaya ke Allah ki qasam main (tumhari is baat par) teen duayen karta hoon . Aye Allah! agar tera yeh banda jhoota hai aur sirf riya o numood ke liye khara hua hai to us ki umar daraaz kar aur usay khoob mohtaaj bana aur usay fitnon mein mubtala kar . Us ke baad (woh shakhs is darja badhaal hua ke) jab us se poocha jata to kehta ke ek boodha aur pareshan haal hoon mujhe Saad razi Allahu anhu ki baddua lag gayi . Abdul Malik ne byaan kiya ke main ne usay dekha us ki bhonwein barhapa ki wajah se aankhon par aa gayi thi . Lekin ab bhi raaston mein woh larkiyon ko chherhta .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
سعد بن أبي وقاص الزهري، أبو إسحاقصحابي
جابر بن سمرة العامري، أبو خالد، أبو عبد اللهصحابي
عبد الملك بن عمير اللخمي، أبو عمرو، أبو عمرصدوق حسن الحديث
الوضاح بن عبد الله اليشكري، أبو عوانةثقة ثبت
موسى بن إسماعيل التبوذكي، أبو سلمةثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
770
أمد في الأوليين وأحذف في الأخريين
صحيح البخاري
758
أركد في الأوليين وأحذف في الأخريين
صحيح البخاري
755
أركد في الأوليين وأخف في الأخريين
صحيح مسلم
1016
أركد بهم في الأوليين وأحذف في الأخريين
صحيح مسلم
1018
أمد في الأوليين وأحذف في الأخريين
سنن أبي داود
803
أمد في الأوليين وأحذف في الأخريين
سنن النسائى الصغرى
1004
أركد في الأوليين وأحذف في الأخريين
مسندالحميدي
72
أما والله ما كنت آلو بهم صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم في الظهر والعصر أركد في الأوليين وأحذف في الأخريين