الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {وجوه يومئذ ناضرة إلى ربها ناظرة} :
Allah Taala ka (Surat Al-Qiyaamah mein) irshaad "us din baaz chehre turo-taaza honge, woh apne Rabb ko dekhne wale honge, ya dekh rahe honge".
Show diacritics
Hadith Number: 7440
وقال حجاج بن منهال، حدثنا همام بن يحيى، حدثنا قتادة، عن انس رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال: يحبس المؤمنون يوم القيامة حتى يهموا بذلك، فيقولون: لو استشفعنا إلى ربنا فيريحنا من مكاننا، فياتون آدم، فيقولون انت آدم ابو الناس خلقك الله بيده واسكنك جنته واسجد لك ملائكته، وعلمك اسماء كل شيء لتشفع لنا عند ربك حتى يريحنا من مكاننا هذا، قال: فيقول: لست هناكم، قال: ويذكر خطيئته التي اصاب اكله من الشجرة، وقد نهي عنها ولكن ائتوا نوحا اول نبي بعثه الله إلى اهل الارض، فياتون نوحا، فيقول: لست هناكم ويذكر خطيئته التي اصاب سؤاله ربه بغير علم ولكن ائتوا إبراهيم خليل الرحمن، قال: فياتون إبراهيم، فيقول: إني لست هناكم ويذكر ثلاث كلمات كذبهن ولكن ائتوا موسى عبدا آتاه الله التوراة وكلمه وقربه نجيا، قال: فياتون موسى، فيقول: إني لست هناكم ويذكر خطيئته التي اصاب قتله النفس ولكن ائتوا عيسى عبد الله ورسوله وروح الله وكلمته، قال: فياتون عيسى، فيقول: لست هناكم ولكن ائتوا محمدا صلى الله عليه وسلم عبدا غفر الله له ما تقدم من ذنبه وما تاخر، فياتوني، فاستاذن على ربي في داره، فيؤذن لي عليه فإذا رايته وقعت ساجدا، فيدعني ما شاء الله ان يدعني، فيقول: ارفع محمد، وقل: يسمع، واشفع تشفع، وسل تعط، قال: فارفع راسي فاثني على ربي بثناء وتحميد يعلمنيه ثم اشفع، فيحد لي حدا، فاخرج، فادخلهم الجنة، قال قتادة وسمعته ايضا، يقول: فاخرج، فاخرجهم من النار وادخلهم الجنة، ثم اعود الثانية، فاستاذن على ربي في داره فيؤذن لي عليه فإذا رايته وقعت ساجدا فيدعني ما شاء الله ان يدعني، ثم يقول: ارفع محمد وقل يسمع، واشفع تشفع، وسل تعط، قال: فارفع راسي، فاثني على ربي بثناء وتحميد يعلمنيه، قال: ثم اشفع فيحد لي حدا، فاخرج فادخلهم الجنة، قال قتادة وسمعته، يقول: فاخرج فاخرجهم من النار وادخلهم الجنة، ثم اعود الثالثة، فاستاذن على ربي في داره، فيؤذن لي عليه، فإذا رايته وقعت ساجدا فيدعني ما شاء الله ان يدعني، ثم يقول: ارفع محمد وقل يسمع، واشفع تشفع، وسل تعطه، قال: فارفع راسي، فاثني على ربي بثناء وتحميد يعلمنيه، قال: ثم اشفع فيحد لي حدا، فاخرج، فادخلهم الجنة، قال قتادة وقد سمعته، يقول: فاخرج، فاخرجهم من النار وادخلهم الجنة حتى ما يبقى في النار إلا من حبسه القرآن اي وجب عليه الخلود، قال: ثم تلا هذه الآية عسى ان يبعثك ربك مقاما محمودا سورة الإسراء آية 79، قال: وهذا المقام المحمود الذي وعده نبيكم صلى الله عليه وسلم".
Aur Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Qatadah bin Da-aama ne bayan kiya aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat ke din momino ko (garm maidan mein) روک diya jaye ga yahan tak ke is ki wajah se woh ghamgeen ho jayein ge aur (salah kar ke) kahein ge ke kaash koi hamare Rabb se hamari shafa'at karta ke hamain is halat se najat milti. Chunanche woh mil kar Adam alaihissalam ke paas aayein ge aur kahein ge ke Aap insaanon ke baap hain, Allah ne Aap ko apne hath se banaya aur Aap ko jannat mein maqam ata kiya, Aap ko sajda karne ka farishton ko hukm diya aur Aap ko har cheez ke naam sikhaye. Aap hamari shafa'at apne Rabb ke huzoor mein karein taake hamain is halat se najat de. Bayan kiya ke Adam alaihissalam kahein ge ke main is laiq nahi woh apni is ghalati ko yaad karein ge jo bawajood rukne ke darakht kha lene ki wajah se in se hui thi aur kahein ge ke Nooh alaihissalam ke paas jao kyunke woh pehle Nabi hain jinhein Allah Ta'ala ne zameen walon ki taraf Rasool bana kar bheija thu. Chunanche log Nooh alaihissalam ke paas aayein ge to woh bhi yeh farmayein ge ke main is laiq nahi aur apni is ghalati ko yaad karein ge jo baghair ilm ke Allah Rabb-ul-Izzat se sawal kar ke (apne bete ki bakhshish ke liye) unhon ne ki ku aur kahein ge ke Ibrahim alaihissalam ke paas jao jo Allah ke khaleel hain. Bayan kiya ke hum sab log Ibrahim alaihissalam ke paas aayein ge to woh bhi yahi uzr karein ge ke main is laiq nahi aur woh in teen baaton ko yaad karein ge jin mein Aap ne ba-zhahir ghalat-bayani ki ku aur kahein ge ke Musa alaihissalam ke paas jao. Woh aise bande hain jinhein Allah Ta'ala ne Tauraat di aur in se baat ki aur in ko nazdeek kar ke in se sargoshi ki. Bayan kiya ke phir log Musa alaihissalam ke paas aayein ge to woh bhi kahein ge ke main is laiq nahi hoon aur woh ghalati yaad karein ge jo ek shakhs ko qatl kar ke unhon ne ki ku. (Woh kahein ge) Albatta Esa alaihissalam ke paas jao woh Allah ke bande, us ke Rasool, Allah kirooh aur is ka kalma hain. Chunanche log Esa alaihissalam ke paas aayein ge. Woh farmayein ge ke main is laiq nahi hoon tum log Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ke paas jao. Woh aise bande hain ke Allahne in ke agle pichhle tamam gunah maaf kar diye. Chunanche log meere paas aayein ge aur main apne Rabb se is ke dar e daulat yani arsh e mualla par aane ke liye ijazat chahoon ga. Mujhe is ki ijazat di jaye gi phir main Allah Ta'ala ko dekhte hi sajda mein gir paroon ga aur Allah Ta'ala mujhe jab tak chahe ga isi halat mein rehne de ga. Phir farmaye ga ke Ae Muhammad! sar uthao, kaho suna jaye ga, shafa'at karo tumhari shafa'at qabool ki jaye gi, jo maango ge diya jaye ga. Bayan kiya ke phir main apna sar uthaoon ga aur apne Rabb ki hamd o sana karoon ga jo woh mujhe sikhaye ga. Bayan kiya ke phir main shafa'at karoon ga. Chunanche meere liye hadd muqarrar ki jaye gi aur main is ke mutabiq logon ko dozakh se nikaal kar jannat mein dakhil karoon ga. Qatadah ne bayan kiya ke main ne Anas razi Allahu anhuko yeh kehte huay suna ke phir main nikaaloon ga aur jahannum se nikaal kar jannat mein dakhil karoon ga. Phir teesri martaba apne Rabb se is ke dar e daulat ke liye ijazat chahoon ga aur mujhe is ki ijazat di jaye gi. Phir main Allah Rabb-ul-Izzat ko dekhte hi is ke liye sajda mein gir paroon ga aur Allah Ta'ala jab tak chahe ga mujhe yun hi chhorre rakkhe ga. Phir farmaye ga: Ae Muhammad! sar uthao, kaho suna jaye ga shafa'at karo qabool ki jaye gi, maango diya jaye ga. Aap ne bayan kiya ke main apna sar uthaoon ga aur apne Rabb ki aaisi hamd o sana karoon ga jo woh mujhe sikhaye ga bayan kiya ke phir shafa'at karoon ga aur meere liye hadd muqarrar kar di jaye ga aur main is ke mutabiq jahannum se logon ko nikaal kar jannat mein dakhil karoon ga. Qatadah ne bayan kiya ke main ne Anas razi Allahu anhuko yeh kehte suna ke phir main logon ko nikaaloon ga aur unhein jahannum se nikaal kar jannat mein dakhil karoon ga, yahan tak ke jahannum mein sirf wahi log baqi reh jayein ge jinhein Quran ne روک rakkha ho ga yani unhein hamesha hi is mein rehna ho ga (yani kuffar-o-mushrikeen) phir Aap ne yeh aayat tilawat ki «asaaa ay-yab-asaka rab-baka maqamam-mahmoodan» ”qareeb hai ke Aap ka Rabb maqam e mahmood par Aap ko bheije ga“ farmaya ke yahi woh maqam e mahmood hai jis ke liye Allah Ta'ala ne apne habeeb salla Allahu alaihi wasallam se waada kiya hai.“


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضرصحابي
قتادة بن دعامة السدوسي، أبو الخطابثقة ثبت مشهور بالتدليس
همام بن يحيى العوذي، أبو عبد الله، أبو بكرثقة
الحجاج بن المنهال الأنماطي، أبو محمدثقة