الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفتن
Kitab: Fitnon ke bayan mein
باب إذا قال عند قوم شيئا ثم خرج فقال بخلافه:
Koi shakhs logon ke saamne ek baat kahe phir us ke paas se nikal kar dusri baat kahe (to yeh dagha baazi hai).
Show diacritics
Hadith Number: 7112
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابو شهاب، عن عوف، عن ابي المنهال، قال: لما كان ابن زياد ومروان بالشام، ووثب ابن الزبير بمكة، ووثب القراء بالبصرة، فانطلقت مع ابي إلى ابي برزة الاسلمي حتى دخلنا عليه في داره وهو جالس في ظل علية له من قصب، فجلسنا إليه، فانشا ابي يستطعمه الحديث، فقال: يا ابا برزة، الا ترى ما وقع فيه الناس، فاول شيء سمعته تكلم به:" إني احتسبت عند الله اني اصبحت ساخطا على احياء قريش، إنكم يا معشر العرب كنتم على الحال الذي علمتم من الذلة والقلة والضلالة، وإن الله انقذكم بالإسلام وبمحمد صلى الله عليه وسلم حتى بلغ بكم ما ترون وهذه الدنيا التي افسدت بينكم، إن ذاك الذي بالشام والله إن يقاتل إلا على الدنيا، وإن هؤلاء الذين بين اظهركم والله إن يقاتلون إلا على الدنيا، وإن ذاك الذي بمكة والله إن يقاتل إلا على الدنيا".
`Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shihab ne bayan kiya, un se Jauf ne bayan kiya, un se Abul Minhal ne bayan kiya ke jab Abdullah bin Ziyad aur Marwan Sham mein thay aur Ibn Zubair Radi Allahu Anhu ne Makkah mein aur Khawarij ne Basra mein qabza kar liya tha to mein apne walid ke saath Abu Barza Aslami Radi Allahu Anhu ke paas gaya. Jab hum in ke ghar mein ek kamre ke saye mein baithe hue thay jo baans ka bana hua tha, hum in ke paas baith gaye aur mere walid in se baat karne lage aur kaha: Ae Abu Barza! Aap nahi dekhte log kin baaton mein aafat aur ikhtilaf mein ulajh gaye hain. Mein ne un ki zaban se sab se pehli baat yeh suni ke mein jo in Quraish ke logon se naraz hoon to mahz Allah ki raza-mandi ke liye, Allah mera ajr dene wala hai. Arab ke logo! tum jaante ho pehle tumhara kya haal tha tum gumrahi mein giriftar thay, Allah ne Islam ke zariya aur Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ke zariya tum ko is buri halat se najat di. Yahan tak ke tum is rutbe ko pahunche. (duniya ke hakim aur sardar ban gaye) phir isi duniya ne tum ko kharab kar diya. Dekho! yeh shakhs jo Sham mein hakim ban baitha hai yaani Marwan duniya ke liye lad raha hai. Yeh log jo tumhare samne hain. (Khawarij) wallah! yeh log sirf duniya ke liye lad rahe hain aur wo jo Makkah mein hai Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhuma, wallah! wo bhi sirf duniya ke liye lad raha hai.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
نضلة بن عمرو الأسلمي، أبو برزةصحابي
سيار بن سلامة الرياحي، أبو المنهالثقة
عوف بن أبي جميلة الأعرابي، أبو سهلصدوق رمي بالقدر والتشيع
عبد ربه بن نافع الكناني، أبو شهابثقة
أحمد بن يونس التميمي، أبو عبد اللهثقة حافظ