الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب كيف كان عيش النبى صلى الله عليه وسلم وأصحابه، وتخليهم من الدنيا:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam aur Aap Sallallahu alaihi wasallam ke Sahaba ke guzaraan ka bayaan aur dunya se kinara kashi ka bayaan.
Hadith Number: 6453
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن إسماعيل، حدثنا قيس، قال: سمعت سعدا، يقول:" إني لاول العرب رمى بسهم في سبيل الله، ورايتنا نغزو وما لنا طعام إلا ورق الحبلة وهذا السمر، وإن احدنا ليضع كما تضع الشاة ما له خلط، ثم اصبحت بنو اسد تعزرني على الإسلام خبت إذا وضل سعيي".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya , in se Ismail bin Abi Khalid ne , in se Qays ne bayan kiya , kaha ke main ne Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke main sab se pehla Arab hoon jis ne Allah ke raaste mein teer chalaye . Hum ne is haal mein waqt guzara hai ke jihad kar rahe hain aur hamare paas khane ki koi cheez hublah ke patton aur is babool ke siwa khane ke liye nahi thi aur bakri ki mangniyon ki tarah hum pakhana kiya karte thay . Ab yeh Banu Asad ke log mujhko Islam sikhla kar durust karna chahte hain phir to main bilkul bad-naseeb thehra aur mera saara kiya karaya akaarat gaya .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| سعد بن أبي وقاص الزهري، أبو إسحاق | صحابي | |
| قيس بن أبي حازم البجلي، أبو عبد الله | ثقة | |
| إسماعيل بن أبي خالد البجلي، أبو عبد الله | ثقة ثبت | |
| يحيى بن سعيد القطان، أبو سعيد | ثقة متقن حافظ إمام قدوة | |
| مسدد بن مسرهد الأسدي، أبو الحسن | ثقة حافظ |