الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب ما يحذر من زهرة الدنيا والتنافس فيها:
Dunya ki bahaar aur ronak aur us ki rejh karne se darna.
Hadith Number: 6427
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن اكثر ما اخاف عليكم ما يخرج الله لكم من بركات الارض"، قيل: وما بركات الارض؟ قال:" زهرة الدنيا"، فقال له رجل: هل ياتي الخير بالشر؟ فصمت النبي صلى الله عليه وسلم حتى ظننا انه ينزل عليه، ثم جعل يمسح عن جبينه، فقال:" اين السائل"، قال: انا، قال ابو سعيد: لقد حمدناه حين طلع ذلك، قال:" لا ياتي الخير إلا بالخير، إن هذا المال خضرة حلوة، وإن كل ما انبت الربيع يقتل حبطا او يلم إلا آكلة الخضرة، اكلت حتى إذا امتدت خاصرتاها استقبلت الشمس، فاجترت، وثلطت، وبالت، ثم عادت فاكلت، وإن هذا المال حلوة من اخذه بحقه ووضعه في حقه فنعم المعونة هو، ومن اخذه بغير حقه كان كالذي ياكل ولا يشبع".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , in se Zayd bin Aslam ne , in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Saeed razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main tumhare mutalliq sab se zyada is se khauf khaata hoon ke jab Allah Ta'ala zameen ki barakatein tumhare liye nikaal de ga . Poochha gaya zameen ki barakatein kya hain ? Farmaya ke duniya ki chamak damak , is par ek sahabi ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha kya bhalayi se burayi paida ho sakti hai ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is par khamosh ho gaye aur hum ne khayal kiya ke shayad Aap par wahi nazil ho rahi hai . Is ke baad apni peshani ko saaf karne lage aur daryaft farmaya , poochne wale kahan hain ? Poochne wale ne kaha ke hazir hoon . Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne kaha ke jab is sawal ka hal hamare samne aa gaya to hum ne in sahab ki tareef ki . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bhalayi se to sirf bhalayi hi paida hoti hai lekin yeh maal sarsabz aur khush-gawar (ghaas ki tarah) hai aur jo cheez bhi Rabee ke mausam mein ugti hain woh hirs ke saath khane walon ko halak kar deti hain ya halakat ke qareeb pahuncha deti hain . Siwaye is janwar ke jo pait bhar ke khaye ke jab us ne kha liya aur is ki donon kookh bhar gayiein to us ne sooraj ki taraf munh kar ke jugali kar li aur phir pakhana peshab kar diya aur is ke baad phir laut ke kha liya aur yeh maal bhi bahut shireen hai jis ne usay haq ke saath liya aur haq mein kharch kiya to woh behtareen zariya hai aur jis ne usay najaiz tariqa se haasil kiya to woh is shakhs jaisa hai jo khaata hai lekin aasuda nahi hota .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو سعيد الخدري، أبو سعيد | صحابي | |
| عطاء بن يسار الهلالي، أبو محمد | ثقة | |
| زيد بن أسلم القرشي، أبو خالد، أبو أسامة، أبو عبد الله | ثقة | |
| مالك بن أنس الأصبحي، أبو عبد الله | رأس المتقنين وكبير المتثبتين | |
| إسماعيل بن أبي أويس الأصبحي، أبو عبد الله | صدوق يخطئ |