الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستئذان
Kitab: Ijazat lene ke bayan mein
باب من أجاب بلبيك وسعديك:
Koi bulaye to jawaab mein lafz "Labbaik" (haazir) aur "Sa'daik" (aap ki khidmat ke liye musta'id) kehna.
Hadith Number: Q6268
Hum se Hudba bin Khalid ne bayan kiya, kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Qatadah bin Du'ama ne bayan kiya, in se Anas razi Allahu anhu ne aur in se Maaz razi Allahu anhu ne phir wahi hadees mazkoora bala bayan ki.
تخریج الحدیث:
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| معاذ بن جبل الأنصاري، أبو عبد الرحمن | صحابي | |
| أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضر | صحابي | |
| قتادة بن دعامة السدوسي، أبو الخطاب | ثقة ثبت مشهور بالتدليس | |
| همام بن يحيى العوذي، أبو عبد الله، أبو بكر | ثقة | |
| هدبة بن خالد القيسي، أبو خالد | ثقة |
Hadith Number: 6268
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا زيد بن وهب، حدثنا والله ابو ذر بالربذة، قال: كنت امشي مع النبي صلى الله عليه وسلم في حرة المدينة عشاء استقبلنا احد، فقال:" يا ابا ذر، ما احب ان احدا لي ذهبا ياتي علي ليلة، او ثلاث عندي منه دينار، إلا ارصده لدين إلا ان اقول به في عباد الله: هكذا وهكذا وهكذا"، وارانا بيده، ثم قال:" يا ابا ذر"، قلت: لبيك وسعديك يا رسول الله، قال:" الاكثرون هم الاقلون، إلا من قال: هكذا وهكذا"، ثم قال لي:" مكانك لا تبرح يا ابا ذر حتى ارجع"، فانطلق حتى غاب عني، فسمعت صوتا فخشيت ان يكون عرض لرسول الله صلى الله عليه وسلم، فاردت ان اذهب، ثم ذكرت قول رسول الله صلى الله عليه وسلم لا تبرح، فمكثت قلت: يا رسول الله، سمعت صوتا خشيت ان يكون عرض لك، ثم ذكرت قولك، فقمت، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" ذاك جبريل اتاني فاخبرني انه من مات من امتي لا يشرك بالله شيئا، دخل الجنة"، قلت: يا رسول الله، وإن زنى، وإن سرق، قال:" وإن زنى، وإن سرق"، قلت لزيد: إنه بلغني انه ابو الدرداء، فقال: اشهد لحدثنيه ابو ذر بالربذة، قال الاعمش: وحدثني ابو صالح، عن ابي الدرداء، نحوه، وقال ابو شهاب، عن الاعمش: يمكث عندي فوق ثلاث.
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya, kaha mujh se mere walid ne bayan kiya kaha hum se Aamash ne bayan kiya, kaha hum se Zayd bin Wahb ne bayan kiya (kaha ke) wallah hamase Abu Zarr razi Allahu anhu ne maqam e Rabzhah mein bayan kiya ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath raat ke waqt Madinah Munawwarah ki kaali pattharon wali zameen par chal raha tha ke Uhud pahar dikhayi diya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Abu Zarr! Mujhe pasand nahi ke agar Uhud pahar ke barabar bhi mere paas sona ho aur mujh par ek raat bhi is tarah guzar jaye ya teen raat ke is mein se ek dinar bhi mere paas baqi bache. Siwaye is ke jo main qarz ki adayigi ke liye mahfooz rakh loon main is saare sone ko Allah ki makhlooq mein is is tarah taqseem kar doon ga. Abu Zarr razi Allahu anhu ne is ki kaifiyat hamain apne hath se lap bhar kar dikhayi. Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Abu Zarr! Main ne arz kiya «labbaika wa sadaika» ya Rasool Allah! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke zyada jama karne wale hi (sawab ki haisiyat se) kam haasil karne wale hon ge. Siwaye is ke jo Allah ke bandon par maal is is tarah yani kasrat ke saath kharch kare. Phir farmaya yahien thehre raho Abu Zarr! Yahan se is waqt tak na hatna jab tak main wapas na aa jaoon. Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam tashreef le gaye aur nazron se ojhal ho gaye. Is ke baad main ne aawaz suni aur mujhe khatra hua ke kahin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko koi pareshani na pesh aa gayi ho. Is liye main ne (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko dekhne ke liye) jaana chaha lekin fauran hi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yeh irshad yaad aaya ke yahan se na hatna. Chunanche main wahien ruk gaya (jab Aap tashreef laaye to) main ne arz ki. Main ne aawaz suni thi aur mujhe khatra ho gaya tha ke kahin Aap ko koi pareshani na pesh aa jaye phir mujhe Aap ka irshad yaad aaya is liye main yahien thehar gaya. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya yeh Jibrail alaihissalam thay. Mere paas aaye thay aur mujhe khabar di hai ke meri ummat ka jo shakhs bhi is haal mein mare ga ke Allah ke saath kisi cheez ko shareek na thehrata ho to woh jannat mein jaye ga. Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Agarche us ne zina aur chori ki ho? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan agar us ne zina aur chori bhi ki ho. (Aamash ne bayan kiya ke) main ne Zayd bin Wahb se kaha ke mujhe maloom hua hai ke is hadees ke raawi Abu al-Darda razi Allahu anhu hain? Zayd ne farmaya main gawahi deta hoon ke yeh hadees mujh se Abu Zarr razi Allahu anhu ne maqam e Rabzhah mein bayan ki thi. Aamash ne bayan kiya ke mujh se Abu Salih ne hadees bayan ki aur in se Abu al-Darda razi Allahu anhu ne isi tarah bayan kiya aur Abu Shihab ne Aamash se bayan kiya.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| سليمان بن مهران الأعمش، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| عبد ربه بن نافع الكناني، أبو شهاب | ثقة | |
| عويمر بن مالك الأنصاري، أبو الدرداء | صحابي | |
| أبو صالح السمان، أبو صالح | ثقة ثبت | |
| سليمان بن مهران الأعمش، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| أبو ذر الغفاري، أبو ذر | صحابي | |
| زيد بن وهب الجهني، أبو سليمان | ثقة | |
| سليمان بن مهران الأعمش، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| حفص بن غياث النخعي، أبو عمر | ثقة | |
| عمر بن حفص النخعي، أبو حفص | ثقة |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
6268
| ما أحب أن أحدا لي ذهبا يأتي علي ليلة أو ثلاث عندي منه دينار إلا أرصده لدين |