الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستئذان
Kitab: Ijazat lene ke bayan mein
باب التسليم والاستئذان ثلاثا:
Salaam aur ijazat teen marteba honi chahiye.
Hadith Number: 6245
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا يزيد بن خصيفة، عن بسر بن سعيد، عن ابي سعيد الخدري، قال: كنت في مجلس من مجالس الانصار، إذ جاء ابو موسى كانه مذعور، فقال: استاذنت على عمر ثلاثا، فلم يؤذن لي، فرجعت، فقال: ما منعك؟ قلت: استاذنت ثلاثا، فلم يؤذن لي، فرجعت، وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا استاذن احدكم ثلاثا، فلم يؤذن له، فليرجع"، فقال: والله لتقيمن عليه ببينة امنكم احد سمعه من النبي صلى الله عليه وسلم، فقال ابي بن كعب: والله لا يقوم معك، إلا اصغر القوم، فكنت اصغر القوم، فقمت معه، فاخبرت عمر: ان النبي صلى الله عليه وسلم قال ذلك، وقال ابن المبارك، اخبرني ابن عيينة، حدثني يزيد بن خصيفة، عن بسر بن سعيد، سمعت ابا سعيد، بهذا.
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, kaha hum se Yazid bin Khusaifah ne bayan kiya in se Busr bin Saeed aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Ansar ki ek majlis mein tha ke Abu Musa razi Allahu anhu tashreef laaye jaise ghabraye huay hon. Unhon ne kaha ke main ne Umar razi Allahu anhu ke yahan teen martaba andar aane ki ijazat chahi lekin mujhe koi jawab nahi mila, is liye wapas chala aaya (Umar razi Allahu anhu ko maloom hua) to unhon ne daryaft kiya ke (andar aane mein) kya baat manay thi? Main ne kaha ke main ne teen martaba andar aane ki ijazat maangi aur jab mujhe koi jawab nahi mila to wapas chala gaya aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke jab tum mein se koi kisi se teen martaba ijazat chahe aur ijazat na mile to wapas chala jaana chahiye. Umar razi Allahu anhu ne kaha: wallah! Tumhein is hadees ki sehat ke liye koi gawah lana ho ga. (Abu Musa razi Allahu anhu ne majlis walon se poochha) kya tum mein koi aisa hai jis ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yeh hadees suni ho? Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne kaha ke Allah ki qasam! Tumhare saath (is ki gawahi dene ke siwa) jama'at mein sab se kam-umr shakhs ke koi aur nahi khada ho ga. Abu Saeed ne kaha aur main hi jama'at ka woh sab se kam-umr aadmi tha main in ke saath uth khada ho gaya aur Umar razi Allahu anhu se kaha ke waqeyi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa farmaya hai. Aur Ibn Mubarak ne bayan kiya ke mujhko Sufyan bin Uyaynah ne khabar di, kaha mujh se Yazid bin Khusaifah ne bayan kiya, unhon ne Busr bin Saeed se, kaha main ne Abu Saeed razi Allahu anhu se suna phir yahi hadees naqal ki.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو سعيد الخدري، أبو سعيد | صحابي | |
| بسر بن سعيد الحضرمي | ثقة | |
| يزيد بن خصيفة الكندي | ثقة | |
| سفيان بن عيينة الهلالي، أبو محمد | ثقة حافظ حجة | |
| عبد الله بن المبارك الحنظلي، أبو عبد الرحمن | ثقة ثبت فقيه عالم جواد مجاهد جمعت فيه خصال الخير | |
| عبد الله بن قيس الأشعري، أبو موسى | صحابي | |
| أبو سعيد الخدري، أبو سعيد | صحابي | |
| بسر بن سعيد الحضرمي | ثقة | |
| يزيد بن خصيفة الكندي | ثقة | |
| سفيان بن عيينة الهلالي، أبو محمد | ثقة حافظ حجة | |
| علي بن المديني، أبو الحسن | ثقة ثبت إمام أعلم أهل عصره بالحديث وعلله |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
6245
| إذا استأذن أحدكم ثلاثا فلم يؤذن له فليرجع |