الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب الخلع وكيف الطلاق فيه:
Bab: Khul’ ke bayan mein.
Hadith Number: 5274
حدثنا إسحاق الواسطي، حدثنا خالد، عن خالد الحذاء، عن عكرمة،" ان اخت عبد الله بن ابي بهذا، وقال: تردين حديقته؟ قالت: نعم، فردتها، وامره يطلقها". وقال إبراهيم بن طهمان، عن خالد، عن عكرمة، عن النبي صلى الله عليه وسلم: وطلقها.
Hum se Ishaq Wasiti ne byaan kiya , kaha hum se Khalid Tahhan ne byaan kiya , in se Khalid Hazza ne , un se Ikrimah ne ke Abdullah bin Ubayy (munafiq) ki behen Jameelah razi Allahu anha (jo Ubayy ki beti thi) ne yeh byaan kiya aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne in se daryaft farmaya tha ke kiya tum in (Sabit razi Allahu anhu) ka bagh wapas kar do gi ? Unhon ne arz kiya haan kar doon gi . Chunanche unhon ne bagh wapas kar diya aur unhon ne in ke shohar ko hukm diya ke unhein talaq de dein . Aur Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya ke in se Khalid ne , in se Ikrimah ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se aur (is riwayat mein byaan kiya ke) in ke shohar (Sabit razi Allahu anhu) ne unhein talaq de di .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators: