الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب من قال لامرأته أنت على حرام:
Bab: Jis ne apni biwi se kaha ke tu mujh par haram hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q5264-2
او الخلية او البرية او ما عني به الطلاق، فهو على نيته، وقول الله عز وجل: وسرحوهن سراحا جميلا سورة الاحزاب آية 49، وقال: واسرحكن سراحا جميلا سورة الاحزاب آية 28، وقال: فإمساك بمعروف او تسريح بإحسان سورة البقرة آية 229، وقال: او فارقوهن بمعروف سورة الطلاق آية 2، وقالت عائشة:" قد علم النبي صلى الله عليه وسلم ان ابوي لم يكونا يامراني بفراقه".
Ya main ne rukhwat kiya , ya yun kahe ke ab to khaali hai ya alag hai ke aao main tum ko achhi tarah se rukhwat kar doon . Isi tarah Surah al-Baqarah mein farmaya isi tarah ka koi aisa lafz istemal kiya jis se talaq bhi murad li ja sakti hai to is ki niyat ke mutabiq talaq ho jaye gi . Allah Ta'ala ka Surah al-Ahzab mein irshad hai «wa sarrihoo-hunna saraahan jameelan» ”unhein khoobi ke saath rukhwat kar do“ aur isi surat mein farmaya «fa-imsaakum bi-maroofin au tasreehum bi-ihsanin» ”is ke baad ya to rakh lena hai qaida ke mutabiq ya khush-akhlaqi ke saath chhor dena hai“ aur Aisha razi Allahu anha ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko khoob maloom tha ke mere walidain (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se) «firaaq» ka mashwara de hi nahi sakte (yahan «firaaq» se talaq murad hai) .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: Q5264
وقال الحسن: نيته، وقال اهل العلم: إذا طلق ثلاثا فقد حرمت عليه فسموه حراما بالطلاق والفراق وليس هذا كالذي يحرم الطعام لانه لا يقال لطعام الحل حرام، ويقال للمطلقة حرام، وقال: في الطلاق ثلاثا لا تحل له حتى تنكح زوجا غيره.
Imam Hasan Basri ne kaha ke is surat mein fatwa is ki niyat par ho ga aur Ahl e Ilm ne yun kaha hai ke jab kisi ne apni biwi ko teen talaq de di to woh is par haram ho jaye gi . Yahan talaq aur «firaaq» ke alfaz ke zariye hurmat sabit ki aur aurat ko apne oopar haram karna khane ko haram ki tarah nahi hai is ki wajah yeh hai ke halal khane ko haram nahi keh sakte aur talaq wali aurat ko haram kehte hain Allah Ta'ala ne teen talaq wali aurat ke liye yeh farmaya ke woh agle khawand ke liye halal na ho gi jab tak doosre khawand se nikah na kare .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 5264
وقال الليث: حدثني نافع، قال:" كان ابن عمر إذا سئل عمن طلق ثلاثا، قال: لو طلقت مرة او مرتين فإن النبي صلى الله عليه وسلم امرني بهذا، فإن طلقتها ثلاثا، حرمت حتى تنكح زوجا غيرك".
Aur Layth bin Saad ne Nafi se byaan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se agar aise shakhs ka masla poocha jata jis ne apni biwi ko teen talaq di hoti , to woh kehte agar tu ek baar ya do baar talaq deta to ruju kar sakta tha kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhko aisa hi hukm diya tha lekin jab tu ne teen talaq de di to woh aurat ab tujh par haram ho gayi yahan tak ke woh tere siwa aur kisi shakhs se nikah kare .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة