الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {استغفر لهم أو لا تستغفر لهم إن تستغفر لهم سبعين مرة} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! Aap un ke liye istighfar karen ya na karen agar Aap un ke liye sattar martaba bhi istighfar karenge (tab bhi Allah unhein nahi bakhshe ga)”.
Hadith Number: 4670
حدثني عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: لما توفي عبد الله بن ابي، جاء ابنه عبد الله بن عبد الله إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فساله ان يعطيه قميصه يكفن فيه اباه، فاعطاه، ثم ساله ان يصلي عليه، فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم ليصلي عليه، فقام عمر، فاخذ بثوب رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، تصلي عليه وقد نهاك ربك ان تصلي عليه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنما خيرني الله، فقال: استغفر لهم او لا تستغفر لهم إن تستغفر لهم سبعين مرة سورة التوبة آية 80، وسازيده على السبعين"، قال: إنه منافق، قال: فصلى عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم، فانزل الله ولا تصل على احد منهم مات ابدا ولا تقم على قبره سورة التوبة آية 84.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Aqeel ne aur un ke alawa (Abu Salih Abdullah bin Salih) ne byaan kiya , ke mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , unhein Ubaydullah bin Abdullah ne khabar di aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne , un se Umar razi Allahu anhu ne jab Abdullah bin Ubayy bin Salool ki maut hui to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ki namaz e janaza parhane ke liye kaha gaya . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam namaz parhane ke liye kharay huay to main jaldi se khidmat e Nabwi mein pahuncha aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Aap Ibn Ubayy (munafiq) ki namaz e janaza parhane lage haalan ke us ne falan falan din is is tarah ki baatein (Islam ke khilaf) ki thien ? Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main is ki kahi hui baatein ek ek kar ke pesh karne laga . Lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne tabassum kar ke farmaya ke Umar! Mere paas se hat jao (aur saff mein ja ke kharay ho jao) . Main ne israr kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe ikhtiyar diya gaya hai . Is liye main ne (is ke liye istighfar karne aur is ki namaz e janaza parhane hi ko) pasand kiya , agar mujhe yeh maloom ho jaye ke sattar martaba se zyada istighfar karne se is ki maghfirat ho jaye gi to main sattar martaba se zyada istighfar karoon ga . Byaan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne namaz parhayi aur wapas tashreef laye , thori der abhi hui thi ke Surah Baraat ki do aayatein nazil huien «wa la tusalli ala ahadin minhum maata abadan» ke ”in mein se jo koi mar jaye is par kabhi bhi namaz na parh-ye .“ Aakhir aayat «wa hum fasiqoona» tak . Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke baad mein mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne apni is darja jurat par khud bhi hairat hui aur Allah aur us ke Rasool behtar janne wale hain .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن عمر العدوي، أبو عبد الرحمن | صحابي | |
| نافع مولى ابن عمر، أبو عبد الله | ثقة ثبت مشهور | |
| عبيد الله بن عمر العدوي، أبو عثمان | ثقة ثبت | |
| حماد بن أسامة القرشي، أبو أسامة | ثقة ثبت | |
| عبد الله بن إسماعيل الهباري، أبو محمد | ثقة |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
4672
| استغفر لهم أو لا تستغفر لهم إن تستغفر لهم سبعين مرة فلن يغفر الله لهم |
صحيح البخاري |
4670
| استغفر لهم أو لا تستغفر لهم إن تستغفر لهم سبعين مرة |
جامع الترمذي | 3098 | استغفر لهم أو لا تستغفر لهم |