الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {ثاني اثنين إذ هما فى الغار} :
Bab: Ayat ki tafseer“Jab ke do mein se ek woh the dono ghaar mein (maujood) the jab woh Rasoolullah ﷺ apne saathi se keh rahe the ke fikr na kar Allah paak hamare sath hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4666
حدثنا محمد بن عبيد بن ميمون، حدثنا عيسى بن يونس، عن عمر بن سعيد، قال: اخبرني ابن ابي مليكة: دخلنا على ابن عباس،فقال:" الا تعجبون لابن الزبير، قام في امره هذا"، فقلت: لاحاسبن نفسي له ما حاسبتها لابي بكر ولا لعمر، ولهما كانا اولى بكل خير منه، وقلت: ابن عمة النبي صلى الله عليه وسلم، وابن الزبير، وابن ابي بكر، وابن اخي خديجة، وابن اخت عائشة، فإذا هو يتعلى عني، ولا يريد ذلك، فقلت: ما كنت اظن اني اعرض هذا من نفسي فيدعه، وما اراه يريد خيرا، وإن كان لا بد لان يربني بنو عمي، احب إلي من ان يربني غيرهم".
Hum se Muhammad bin Ubayd bin Maymoon ne byaan kiya , kaha hum se Esa bin Yunus ne , un se Amr bin Saeed ne , unhein Ibn Abi Mulaykah ne khabar di ke hum Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein hazir huay to unhon ne kaha ke Ibn Zubayr par tumhein hairat nahi hoti . Woh ab khilafat ke liye kharay ho gaye hain to main ne irada kar liya ke un ke liye mehnat mushaqqat karoon ga ke aaisi mehnat aur mushaqqat main ne Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma ke liye bhi nahi ki . Haalan ke woh donon in se har haisiyat se behtar thay . Main ne logon se kaha ke woh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki phoopi ki aulad mein se hain . Zubayr razi Allahu anhu ke bete aur Abu Bakr razi Allahu anhu ke nawase , Khadija razi Allahu anha ke bhai ke bete , Aisha razi Allahu anha ki behen ke bete . Lekin Abdullah bin Zubayr ne kya kiya woh mujh se ghuroor karne lage . Unhon ne nahi chaha ke main un ke khaas musahibon mein rahoon (apne dil mein kaha) mujh ko hargiz yeh guman na tha ke main to un se aaisi aajzi karoon ga aur woh is par bhi mujh se raazi na hon ge . Khair ab mujhe umeed nahi ke woh mere saath bhalayi karein ge jo hona tha woh hua ab Bani Umayyah jo mere chacha zaad bhai hain agar mujh par hukoomat karein to yeh mujh ko auron ke hukoomat karne se zyada pasand hai .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
عبد الله بن أبي مليكة القرشي، أبو محمد، أبو بكرثقة
عمر بن سعيد القرشيثقة
عيسى بن يونس السبيعي، أبو محمد، أبو عمروثقة مأمون
محمد بن أبي عباد القرشي، أبو عبيدصدوق يخطئ