الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {لا يحل لكم أن ترثوا النساء كرها} الآية:
Bab: Ayat ki tafseer“Tumhare liye ja’iz nahi ke tum bewa auraton ke zabardasti malik ban jao”aakhir ayat tak.
Hadith Number: Q4579
ويذكر عن ابن عباس: لا تعضلوهن: لا تقهروهن، حوبا: إثما، تعولوا: تميلوا، نحلة: النحلة المهر.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma se riwayat hai ke (aayat mein) «la tazuloohunna» ke maani yeh hain ke un par jabr o qahr na karo , «hooban» yani gunah . «taooloo» yani «tameeloo» jhuko tum . Lafz «nihlatan» mahr ke liye aaya hai .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 4579
حدثنا محمد بن مقاتل، حدثنا اسباط بن محمد، حدثنا الشيباني، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال الشيباني: وذكره ابو الحسن السوائي، ولا اظنه ذكره إلا، عن ابن عباس، يايها الذين آمنوا لا يحل لكم ان ترثوا النساء كرها ولا تعضلوهن لتذهبوا ببعض ما آتيتموهن سورة النساء آية 19، قال:" كانوا إذا مات الرجل، كان اولياؤه احق بامراته إن شاء بعضهم تزوجها، وإن شاءوا زوجوها، وإن شاءوا لم يزوجوها، فهم احق بها من اهلها، فنزلت هذه الآية في ذلك".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha hum se Asbat bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Abu Ishaq Shaybani ne byaan kiya , un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne aur Shaybani ne kaha ke yeh hadees Abu al-Hasan Ata Sawai ne bhi byaan ki hai aur jahan tak mujhe yaqeen hai Ibn Abbas razi Allahu anhuma hi se byaan kiya hai ke aayat «ya ayyuhallazhina aamanu la yahillu lakum an tarisun-nisa'a karhan wa la tazuloohunna litazhhabu bi-ba'adi ma aataytumoohunna» ”Ae ayman walo! Tumhare liye jaiz nahi ke tum auraton ke zabardasti malik ho jao aur na unhein is gharz se qaid rakho ke tum ne unhein jo kuch de rakkha hai , is ka kuch hissa wasool kar lo , unhon ne byaan kiya ke jahiliyat mein kisi aurat ka shohar mar jata to shohar ke rishta-dar is aurat ke zyada mustahiq samjhe jate . Agar unhi mein se koi chahta to is se shaadi kar leta , ya phir woh jis se chahte isi se is ki shaadi karte aur chahte to na bhi karte , is tarah aurat ke ghar walon ke muqabla mein bhi shohar ke rishta-dar is ke zyada mustahiq samjhe jate , isi par yeh aayat «ya ayyuhallazhina aamanu la yahillu lakum an tarisun-nisa'a karhan» nazil hui .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators: