الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب منزل النبى صلى الله عليه وسلم يوم الفتح:
Bab: Fath-e-Makkah ke din qiyam-e-Nabawi ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4294
حدثنا ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان عمر يدخلني مع اشياخ بدر، فقال بعضهم: لم تدخل هذا الفتى معنا ولنا ابناء مثله؟ فقال: إنه ممن قد علمتم، قال: فدعاهم ذات يوم ودعاني معهم، قال: وما رئيته دعاني يومئذ إلا ليريهم مني، فقال: ما تقولون في: إذا جاء نصر الله والفتح {1} ورايت الناس يدخلون في دين الله افواجا {2} سورة النصر آية 1-2؟ حتى ختم السورة، فقال بعضهم: امرنا ان نحمد الله ونستغفره إذا نصرنا وفتح علينا، وقال بعضهم: لا ندري او لم يقل بعضهم شيئا؟ فقال لي: يا ابن عباس، اكذاك تقول؟ قلت: لا، قال: فما تقول؟ قلت: هو اجل رسول الله صلى الله عليه وسلم اعلمه الله له إذا جاء نصر الله والفتح سورة النصر آية 1 فتح مكة، فذاك علامة اجلك فسبح بحمد ربك واستغفره إنه كان توابا سورة النصر آية 3، قال عمر: ما اعلم منها إلا ما تعلم".
Hum se Abu al-Nu'man ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya ‘ un se Abu Bishr ne ‘ un se Saeed bin Jubayr ne ‘ un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Umar razi Allahu anhu mujhe apni majlis mein is waqt bhi bula lete jab wahan Badr ki jang mein shareek hone wale buzurg sahabah razi Allahu anhum baithe hote . Is par baaz log kehne lage is jawan ko Aap hamari majlis mein kyun bulate hain ? Is ke jaise to hamare bache bhi hain . Is par Umar razi Allahu anhu ne kaha woh to in logon mein se hai jin ka ilm o fazl tum jaante ho . Unhon ne byaan kiya ke phir in buzurg sahabiyon ko ek din Umar razi Allahu anhu ne bulaya aur mujhe bhi bulaya . Byaan kiya ke main samajhta tha ke mujhe is din Aap ne is liye bulaya tha taake Aap mera ilm bata sakein . Phir Aap ne daryaft kiya «izha jaa'a nasrullahi wal fathu * wa ra'aytan naasa yadkhuloon» ‘ khatm surat tak ‘ ke mutalliq tum logon ka kya khayal hai ? Kisi ne kaha ke hamain is aayat mein hukm diya gaya hai ke hum Allah ki hamd byaan karein aur us se istighfar karein ke us ne hamari madad ki aur hamain fatah inayat farmayi . Baaz ne kaha ke hamain is ke mutalliq kuch maloom nahi hai aur baaz ne koi jawab nahi diya phir unhon ne mujh se daryaft kiya: Ibn Abbas! Kya tumhara bhi yahi khayal hai ? Main ne jawab diya ke nahi ‘ poocha ‘ phir tum kya kehte ho ? Main ne kaha ke is mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ki taraf isharah hai ke jab Allah Ta'ala ki madad aur fatah haasil ho gayi . Yani Fatah Makkah to yeh Aap salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ki nishani hai . Is liye Aap apne Rabb ki hamd aur tasbeeh aur us ki maghfirat talab karein ke woh tauba qabool karne wala hai . Umar razi Allahu anhu ne kaha ke jo kuch tum ne kaha wahi main bhi samajhta hoon .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
سعيد بن جبير الأسدي، أبو محمد، أبو عبد اللهثقة ثبت
جعفر بن أبي وحشية اليشكري، أبو بشرثقة
الوضاح بن عبد الله اليشكري، أبو عوانةثقة ثبت
محمد بن الفضل السدوسي، أبو النعمانثقة ثبت تغير في آخر عمره
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
4294
ما تقولون في إذا جاء نصر الله والفتح ورأيت الناس يدخلون في دين الله أفواجا