الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الإيمان
Kitab: Iman ke bayan mein
باب حسن إسلام المرء:
Bab: Aadmi ke Islam ki khoobi (ke darjaat kya hain).
Hadith Number: 41
قال مالك: اخبرني زيد بن اسلم، ان عطاء بن يسار اخبره، ان ابا سعيد الخدري اخبره، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إذا اسلم العبد فحسن إسلامه يكفر الله عنه كل سيئة كان زلفها، وكان بعد ذلك القصاص الحسنة بعشر امثالها إلى سبع مائة ضعف والسيئة بمثلها، إلا ان يتجاوز الله عنها"
Imam Maalik Rahimahullah kehte hain mujhe Zaid bin Aslam ne khabar di, unhein Ata bin Yasaar ne, un ko Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu ne bataaya ke unhon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh irshaad farmaate huwe suna ke jab (ek) bandah musalmaan ho jaaye aur us ka Islam umdah ho (yaqeen o khuloos ke saath ho) to Allah us ke gunaah ko jo us ne is (Islam laane) se pehle kiya mu’aaf farmaa deta hai aur ab us ke baad ke liye badla shuru ho jaata hai (yani) ek neki ke ewaz das guna se le kar saat sau guna tak (sawab) aur ek buraayi ka usi buraayi ke mutabiq (badla diya jaata hai) magar yeh ke Allah Ta’ala us buraayi se bhi dar guzar kare. (Aur use bhi mu’aaf farmaa de. Yeh bhi us ke liye aasaan hai.)
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة