الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْإِيمَانِ
The Book of Belief (Faith)
بَابُ حُسْنِ إِسْلاَمِ الْمَرْءِ:
Chapter. (What is said regarding the superiority of) a person who embraces Islam sincerely..
Show diacritics
Hadith Number: 41
قال مالك: اخبرني زيد بن اسلم، ان عطاء بن يسار اخبره، ان ابا سعيد الخدري اخبره، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إذا اسلم العبد فحسن إسلامه يكفر الله عنه كل سيئة كان زلفها، وكان بعد ذلك القصاص الحسنة بعشر امثالها إلى سبع مائة ضعف والسيئة بمثلها، إلا ان يتجاوز الله عنها"
Imam Maalik Rahimahullah kehte hain mujhe Zaid bin Aslam ne khabar di, unhein Ata bin Yasaar ne, un ko Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu ne bataaya ke unhon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh irshaad farmaate huwe suna ke jab (ek) bandah musalmaan ho jaaye aur us ka Islam umdah ho (yaqeen o khuloos ke saath ho) to Allah us ke gunaah ko jo us ne is (Islam laane) se pehle kiya mu’aaf farmaa deta hai aur ab us ke baad ke liye badla shuru ho jaata hai (yani) ek neki ke ewaz das guna se le kar saat sau guna tak (sawab) aur ek buraayi ka usi buraayi ke mutabiq (badla diya jaata hai) magar yeh ke Allah Ta’ala us buraayi se bhi dar guzar kare. (Aur use bhi mu’aaf farmaa de. Yeh bhi us ke liye aasaan hai.)


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 42
حدثنا إسحاق بن منصور، قال: حدثنا عبد الرزاق، قال: اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا احسن احدكم إسلامه، فكل حسنة يعملها تكتب له بعشر امثالها إلى سبع مائة ضعف، وكل سيئة يعملها تكتب له بمثلها".
Hum se Ishaaq bin Mansoor ne bayan kiya, un se Abdur Razzaq ne, unhein Ma’mar ne Hammaam se khabar di, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se naql karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke tum mein se koi shakhs jab apne Islam ko umdah bana le (yani nifaaq aur riya se paak kar le) to har neik kaam jo woh karta hai us ke ewaz das se le kar saat sau guna tak nekiyaan likhi jaati hain aur har bura kaam jo karta hai to woh utna hi likha jaata hai (jitna ke us ne kiya hai).


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain