الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب:
Bab: …
Hadith Number: 3998
حدثني عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام بن عروة، عن ابيه، قال: قال الزبير:" لقيت يوم بدر عبيدة بن سعيد بن العاص وهو مدجج لا يرى منه إلا عيناه , وهو يكنى ابو ذات الكرش"، فقال:" انا ابو ذات الكرش فحملت عليه بالعنزة فطعنته في عينه فمات"، قال هشام: فاخبرت ان الزبير، قال:" لقد وضعت رجلي عليه , ثم تمطات فكان الجهد ان نزعتها وقد انثنى طرفاها"، قال عروة:" فساله إياها رسول الله صلى الله عليه وسلم فاعطاه , فلما قبض رسول الله صلى الله عليه وسلم اخذها، ثم طلبها ابو بكر فاعطاه , فلما قبض ابو بكر سالها إياه عمر , فاعطاه إياها , فلما قبض عمر اخذها , ثم طلبها عثمان منه فاعطاه إياها , فلما قتل عثمان وقعت عند آل علي فطلبها عبد الله بن الزبير فكانت عنده حتى قتل".
Mujh se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham Bin Urwah ne, un se un ke walid ne bayan kiya aur un se Zubair Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Badr ki larai mein meri mud-bher Ubaidah Bin Saeed Bin Aas se ho gayi. Is ka sara jism lohe mein gharq tha aur sirf aankh dikhayi de rahi thi. Is ki kuniyat Abu-zaat-ul-Karsh thi. Kehne laga ke mein Abu-zaat-ul-Karsh hoon. Mein ne chote barchay se is par hamla kiya aur is ki aankh hi ko nishana banaya. Chunanche is zakham se wo mar gaya. Hisham ne bayan kiya ke mujhe khabar di gayi hai ke Zubair Radi Allahu Anhu ne kaha ke phir mein ne apna paon is ke upar rakh kar poora zor lagaya aur bari dushwari se wo barcha is ki aankh se nikal saka. Is ke dono kinare murr gaye thay. Urwah ne bayan kiya ke phir Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Zubair Radi Allahu Anhu ka wo barcha talab farmaya to unhon ne wo pesh kar diya. Jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat ho gayi to unhon ne ise wapas le liya. Phir Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne talab kiya to unhon ne unhein bhi de diya. Abu Bakr Radi Allahu Anhu ki wafat ke baad Umar Radi Allahu Anhu ne talab kiya. Unhon ne unhein bhi de diya. Umar Radi Allahu Anhu ki wafat ke baad unhon ne ise le liya. Phir Usman Radi Allahu Anhu ne talab kiya to unhon ne unhein bhi de diya. Usman Radi Allahu Anhu ki shahadat ke baad wo Ali Radi Allahu Anhu ke paas chala gaya aur in ke baad in ki aulad ke paas aur is ke baad Abdullah Bin Zubair Radi Allahu Anhuma ne ise le liya aur in ke paas hi raha, yahan tak ke wo shaheed kar diye gaye
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| الزبير بن العوام الأسدي، أبو عبد الله | صحابي | |
| عروة بن الزبير الأسدي، أبو عبد الله | ثقة فقيه مشهور | |
| هشام بن عروة الأسدي، أبو المنذر، أبو عبد الله، أبو بكر | ثقة إمام في الحديث | |
| حماد بن أسامة القرشي، أبو أسامة | ثقة ثبت | |
| عبد الله بن إسماعيل الهباري، أبو محمد | ثقة |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
3998
| لقيت يوم بدر عبيدة بن سعيد بن العاص وهو مدجج لا يرى منه إلا عيناه وهو يكنى أبو ذات الكرش فقال أنا أبو ذات الكرش فحملت عليه بالعنزة فطعنته في عينه فمات |